Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar

Bishan Dayal Shad Dehlvi

tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar

Bishan Dayal Shad Dehlvi

MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi

    tire jalvoñ ne sīkhā hai nazar pāsbāñ ho kar

    'ayāñ honā nihāñ ho kar nihāñ honā 'ayāñ ho kar

    ta'ajjub hai nasīb-e-‘ishq rūh-e-ravāñ ho kar

    vo kyoñ zulmat pe haavī haiñ nigāhoñ se nihāñ ho kar

    agar sayyād ne dekhā kabhī kuchh mehrbāñ ho kar

    tamanna rah ga.ī taktī nasīb-e-dushmanāñ ho kar

    sitam Dhāne lagī jab aarzū dil javāñ ho kar

    rahī āThoñ pahar vahshat mohabbat ‘ināñ ho kar

    butān-e-sho'la-rū sehr-sāmānī kyā kahnā

    ḳhudā.ī kar rahe haiñ jān-e-musht-e-ustuḳhvāñ ho kar

    tasavvur meñ liye baiThe haiñ jalvoñ amānat ko

    nazar sab zamīñ par aa ga.ī hai āsmāñ ho kar

    nazar said ho jaanā qarīn-e-‘aql thā lekin

    ḳhabar kyā thī ki dil rah jā.egā nazr-e-butāñ ho kar

    musalsal bevafā.ī par to ik 'ālam hai shaidā.ī

    nahīñ un na jaane kyā ġhazab Dhā.egī haañ ho kar

    bahar-sūrat matā'-e-'shād' hai nairangī-e-'ālam

    ḳhizāñ chhā.ī bahār ho kar bahār aa.ī ḳhizāñ ho kar

    tere jalwon ne sikha hai nazar ka pasban ho kar

    'ayan hona nihan ho kar nihan hona 'ayan ho kar

    ta'ajjub hai nasib-e-‘ishq ki ruh-e-rawan ho kar

    wo kyon zulmat pe hawi hain nigahon se nihan ho kar

    agar sayyaad ne dekha kabhi kuchh mehrban ho kar

    tamanna rah gai takti nasib-e-dushmanan ho kar

    sitam Dhane lagi jab aarzu dil ki jawan ho kar

    rahi aaThon pahar wahshat mohabbat ki ‘inan ho kar

    butan-e-sho'la-ru ki sehr-samani ka kya kahna

    KHudai kar rahe hain jaan-e-musht-e-ustuKHwan ho kar

    tasawwur mein liye baiThe hain jalwon ki amanat ko

    nazar sab ki zamin par aa gai hai aasman ho kar

    nazar ka said ho jaana qarin-e-‘aql tha lekin

    KHabar kya thi ki dil rah jaega nazr-e-butan ho kar

    musalsal bewafai par to ek 'alam hai shaidai

    nahin un ki na jaane kya ghazab Dhaegi han ho kar

    bahar-surat mata'-e-'shad' hai nairangi-e-'alam

    KHizan chhai bahaar ho kar bahaar aai KHizan ho kar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now