Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere KHayal ne ehsan la-jawab kiya

Mahendra Partap Chand

tere KHayal ne ehsan la-jawab kiya

Mahendra Partap Chand

MORE BYMahendra Partap Chand

    tire ḳhayāl ne ehsān lā-javāb kiyā

    nafas nafas ko mire vaqf-e-iztirāb kiyā

    adū harf-e-malāmat banā mirī shohrat

    usī ne ḳhaak ke zarre ko āftāb kiyā

    tirī nazar ko nazar lag na jaa.e duniyā

    bhare jahāñ meñ jo merā intiḳhāb kiyā

    qadam qadam pe rahī justajū-e-nām-o-numūd

    isī havas ne hameñ umr-bhar ḳharāb kiyā

    azal ke din se añdhere mirā muqaddar the

    tirī nazar ne mujhe rashk-e-māhtāb kiyā

    gilā kiyā thā taġhāful 'chāñd' kyuuñ us se

    tujhī ko ashk-e-nadāmat ne aap aab kiyā

    tere KHayal ne ehsan la-jawab kiya

    nafas nafas ko mere waqf-e-iztirab kiya

    adu ka harf-e-malamat bana meri shohrat

    usi ne KHak ke zarre ko aaftab kiya

    teri nazar ko nazar lag na jae duniya ki

    bhare jahan mein jo mera hi intiKHab kiya

    qadam qadam pe rahi justaju-e-nam-o-numud

    isi hawas ne hamein umr-bhar KHarab kiya

    azal ke din se andhere mera muqaddar the

    teri nazar ne mujhe rashk-e-mahtab kiya

    gila kiya tha taghaful ka 'chand' kyun us se

    tujhi ko ashk-e-nadamat ne aap aab kiya

    Source:

    Jate Hue Lamho (Pg. 62 (e)62)

    • Author: Mahendra Partap Chand
      • Edition: 2013
      • Publisher: Amrit Parkashan, Delhi
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now