Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere nigah-e-karam jab bikhar gai hogi

Daur Afridi

tere nigah-e-karam jab bikhar gai hogi

Daur Afridi

MORE BYDaur Afridi

    tire nigāh-e-karam jab bikhar ga.ī hogī

    kisī ġharīb duniyā sañvar ga.ī hogī

    tujhī ko DhūñDhtī phirtī haiñ dar-ba-dar āñkheñ

    azal ke roz tujhī par nazar ga.ī hogī

    sukūt-e-sāz-e-do-ālam sunā.ī detā hai

    tire firāq meñ duniyā Thahar ga.ī hogī

    sahar ke chāhne vaale kyā huā hogā

    ba-nām-e-tīra-shabī jab sahar ga.ī hogī

    vo ik ḳhabar ki jo rusvā.iyoñ baa.is thī

    hazār rañg meñ vo ik ḳhabar ga.ī hogī

    sahar ke narm-o-ḳhunuk dūdhiyā ujāloñ meñ

    tire jamāl rañgat bikhar ga.ī hogī

    ye shash-jihat hai tire qātiloñ des to phir

    tire ḳhulūs arthī kidhar ga.ī hogī

    tere nigah-e-karam jab bikhar gai hogi

    kisi gharib ki duniya sanwar gai hogi

    tujhi ko DhunDhti phirti hain dar-ba-dar aankhen

    azal ke roz tujhi par nazar gai hogi

    sukut-e-saz-e-do-alam sunai deta hai

    tere firaq mein duniya Thahar gai hogi

    sahar ke chahne wale ka kya hua hoga

    ba-nam-e-tira-shabi jab sahar gai hogi

    wo ek KHabar ki jo ruswaiyon ka bais thi

    hazar rang mein wo ek KHabar gai hogi

    sahar ke narm-o-KHunuk dudhiya ujalon mein

    tere jamal ki rangat bikhar gai hogi

    ye shash-jihat hai tere qatilon ka des to phir

    tere KHulus ki arthi kidhar gai hogi

    Source:

    Veeraniyan (Pg. 104)

    • Author: Daur Afridi
      • Publisher: Daur Afridi
      • Year of Publication: 1970
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now