aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere nisar na dekhi koi KHushi maine

Qamar Jalalvi

tere nisar na dekhi koi KHushi maine

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    tire nisār na dekhī koī ḳhushī maiñ ne

    ki ab to maut ko samjhā hai zindagī maiñ ne

    ye dil meñ soch ke tauba bhī toḌ maiñ ne

    na jaane kyā kahe saaqī agar na maiñ ne

    koī balā mire sar par zarūr aa.egī

    ki terī zulf-e-pareshāñ sañvār maiñ ne

    sahar huī shab-e-va.ada iztirāb gayā

    sitāre chhup ga.e gul kar raushnī maiñ ne

    sivā.e dil mujhe dair-o-haram se kyā matlab

    jagah huzūr ke milne DhūñD maiñ ne

    jahāñ chalā diyā sāġhar daur ai vaa.iz

    vahīñ pe gardish-e-ayyām rok maiñ ne

    balā.eñ lene pe aap itne ho ga.e barham

    huzūr kaun jāgīr chhīn maiñ ne

    duā.eñ do mujhe dar dar junūñ meñ phir phir kar

    tumhārī shohrateñ kar diiñ galī maiñ ne

    javāb us to shāyad falak bhī de na sake

    vo bandagī jo tirī rahguzar meñ maiñ ne

    vo jaane kaise pata de ga.e the gulshan

    na chhoḌā phuul na chhoḌī kalī kalī maiñ ne

    'qamar' vo niiñd meñ the un ko kyā ḳhabar hogī

    ki un pe shab ko luTā.ī hai chāñdnī maiñ ne

    tere nisar na dekhi koi KHushi main ne

    ki ab to maut ko samjha hai zindagi main ne

    ye dil mein soch ke tauba bhi toD di main ne

    na jaane kya kahe saqi agar na pi main ne

    koi bala mere sar par zarur aaegi

    ki teri zulf-e-pareshan sanwar di main ne

    sahar hui shab-e-wada ka iztirab gaya

    sitare chhup gae gul kar di raushni main ne

    siwae dil mujhe dair-o-haram se kya matlab

    jagah huzur ke milne ki DhunD li main ne

    jahan chala diya saghar ka daur ai waiz

    wahin pe gardish-e-ayyam rok di main ne

    balaen lene pe aap itne ho gae barham

    huzur kaun si jagir chhin li main ne

    duaen do mujhe dar dar junun mein phir phir kar

    tumhaari shohraten kar din gali main ne

    jawab us ka to shayad falak bhi de na sake

    wo bandagi jo teri rahguzar mein ki main ne

    wo jaane kaise pata de gae the gulshan ka

    na chhoDa phul na chhoDi kali kali main ne

    'qamar' wo nind mein the un ko kya KHabar hogi

    ki un pe shab ko luTai hai chandni main ne

    Source:

    Rashq-e-Qamar (Pg. 101)

    • Author: Qamar Jalalvi
      • Publisher: Shaikh Shokat ali and Sons
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now