tere qarib jo chupke khaDa hua tha main
tire qarīb jo chupke khaḌā huā thā maiñ
batā.ūñ kaise ki ḳhud se Darā huā thā maiñ
jahāñ se aage kahīñ ham bichhaḌne vaale the
palaT ke dekhā vahīñ par rukā huā thā maiñ
ujaaḌ shahr huuñ aur dekhne ke qābil huuñ
sunā gayā hai ki ik din basā huā thā maiñ
bulā rahī thī bahut ek lambī niiñd mujhe
nahīñ ye yaad ki kitnā jagā huā thā maiñ
fanā se guzrūñ to kuchh āshkār ho shāyad
ki zindagī meñ muammā banā huā thā maiñ
tere qarib jo chupke khaDa hua tha main
bataun kaise ki KHud se Dara hua tha main
jahan se aage kahin hum bichhaDne wale the
palaT ke dekha wahin par ruka hua tha main
ujaD shahr hun aur dekhne ke qabil hun
suna gaya hai ki ek din basa hua tha main
bula rahi thi bahut ek lambi nind mujhe
nahin ye yaad ki kitna jaga hua tha main
fana se guzrun to kuchh aashkar ho shayad
ki zindagi mein muamma bana hua tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.