teri aamad ki lagat baDh rahi hai
tirī aamad kī lāgat baḌh rahī hai
hamāre ghar kī qīmat baḌh rahī hai
binā koshish ke vus'at baḌh rahī hai
mire she'roñ meñ hairat baḌh rahī hai
vo jaate vaqt muḌ kar dekhtā hai
mirī jānib mohabbat baḌh rahī hai
purāne dard ghaTte jā rahe haiñ
davāoñ kī zarūrat baḌh rahī hai
apāhij bachche paidā ho rahe haiñ
miyāñ ḳhush haiñ ki ummat baḌh rahī hai
mirī āñkhoñ meñ kuchh hone lagā kyā
tirī āñkhoñ meñ hairat baḌh rahī hai
kisī kā ānā-jānā ghaT rahā hai
amānat meñ ḳhayānat baḌh rahī hai
teri aamad ki lagat baDh rahi hai
hamare ghar ki qimat baDh rahi hai
bina koshish ke wus'at baDh rahi hai
mere she'ron mein hairat baDh rahi hai
wo jate waqt muD kar dekhta hai
meri jaanib mohabbat baDh rahi hai
purane dard ghaTte ja rahe hain
dawaon ki zarurat baDh rahi hai
apahij bachche paida ho rahe hain
miyan KHush hain ki ummat baDh rahi hai
meri aankhon mein kuchh hone laga kya
teri aankhon mein hairat baDh rahi hai
kisi ka aana-jaana ghaT raha hai
amanat mein KHayanat baDh rahi hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 58)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.