teri aankh ka jab ishaara mila
tirī aañkh kā jab ishāra milā
mirī kashtiyoñ ko kinārā milā
vo ik shaḳhs ham se judā ho gayā
vo ik shaḳhs jo sab se pyārā milā
mirī ruuh tak vo utar sā gayā
mirī zindagī ko sahārā milā
mirī har ḳhushī us pe qurbān hai
ḳhushī ye mujhe ġham tumhārā milā
milan ke sabhī rāste band haiñ
vo 'naqvī' na mujh ko dubāra milā
teri aankh ka jab ishaara mila
meri kashtiyon ko kinara mila
wo ek shaKHs hum se juda ho gaya
wo ek shaKHs jo sab se pyara mila
meri ruh tak wo utar sa gaya
meri zindagi ko sahaara mila
meri har KHushi us pe qurban hai
KHushi ye mujhe gham tumhaara mila
milan ke sabhi raste band hain
wo 'naqwi' na mujh ko dubara mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.