Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri ana sar-e-bazar chhin lete hain

Mujavir Husain

teri ana sar-e-bazar chhin lete hain

Mujavir Husain

MORE BYMujavir Husain

    tirī anā sar-e-bāzār chhīn lete haiñ

    sināñ se ham tirī guftār chhīn lete haiñ

    jo qaid karke pahnāte haiñ beḌiyāñ ham ko

    ham un ke paañv se raftār chhīn lete haiñ

    ye mo.ajiza hai hamārā ki ham sar-e-maqtal

    hañsī ke vaar se talvār chhīn lete haiñ

    jāntā nahīñ ham lahja-e-ḳhitābat se

    tirī zabāñ sar-e-darbār chhīn lete haiñ

    sipar banāte haiñ nāzuk gulū-e-ḳhushk ko ham

    kamān-e-lab se ham dhaar chhīn lete haiñ

    jahāñ meñ aaj ye sheva hai kam-tarīnoñ

    sharīf logoñ dastār chhīn lete haiñ

    ye ek talḳh haqīqat hai daur-e-hāzir

    ḳhushī ġharīb zardār chhīn lete haiñ

    teri ana sar-e-bazar chhin lete hain

    sinan se hum teri guftar chhin lete hain

    jo qaid karke pahnate hain beDiyan hum ko

    hum un ke panw se raftar chhin lete hain

    ye moajiza hai hamara ki hum sar-e-maqtal

    hansi ke war se talwar chhin lete hain

    tu jaanta nahin hum lahja-e-KHitabat se

    teri zaban sar-e-darbar chhin lete hain

    sipar banate hain nazuk gulu-e-KHushk ko hum

    kaman-e-lab se hi hum dhaar chhin lete hain

    jahan mein aaj ye shewa hai kam-tarinon ka

    sharif logon ki dastar chhin lete hain

    ye ek talKH haqiqat hai daur-e-hazir ki

    KHushi gharib ki zardar chhin lete hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now