teri bala se gham-e-rozgar ab bhi hai
tirī balā se ġham-e-rozgār ab bhī hai
mire vujūd meñ terā shumār ab bhī hai
zamīñ se uTh ke sitārā banā liyā ḳhud ko
falak se pūchh tirā intizār ab bhī hai
pahelī hal na huī tere husn kī mujh se
mirī nigāh meñ ye pechdār ab bhī hai
tumhāre vasl se mujh meñ gulāb khilte haiñ
mire badan meñ tilism-e-bahār ab bhī hai
safar se lauT ke bistar pe so chukā huuñ maiñ
magar thakan pe chamaktā ġhubār ab bhī hai
teri bala se gham-e-rozgar ab bhi hai
mere wujud mein tera shumar ab bhi hai
zamin se uTh ke sitara bana liya KHud ko
falak se puchh tera intizar ab bhi hai
paheli hal na hui tere husn ki mujh se
meri nigah mein ye pechdar ab bhi hai
tumhaare wasl se mujh mein gulab khilte hain
mere badan mein tilism-e-bahaar ab bhi hai
safar se lauT ke bistar pe so chuka hun main
magar thakan pe chamakta ghubar ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.