Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se

Zaki kakorvi

teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se

Zaki kakorvi

MORE BYZaki kakorvi

    tirī justujū tirī aarzū mujhe kaam tere kaam se

    zindagī hai mudda.ā mirā naam tere naam se

    tirā husn hai mirī zindagī tirā ishq hai mirī āshiqī

    tirī fikr hai mirī shā.irī tirā zikr mere kalām se

    tire husn ne ye ġhazab kiyā ki har ahl-e-dil huā mubtalā

    jise dekhā terā said thā na koī bachā tire daam se

    ga.ī aadhī raat guzar magar na to aa.e ḳhud na kuchh ḳhabar

    maiñ taḌap rahā huuñ idhar udhar yūñhī intizār meñ shaam se

    mire dilrubā mire dilrubā na ye lutf hai na koī atā

    agar aanā hai to phir aa bhī na yuuñ jhāñk rauzan-e-bām se

    ye ġhalat hai kufr hai sāqiyā mujhe terā rahā aasrā

    pilā pilā pilā pilā nahīñ ijtināb harām se

    maiñ vo tishna-lab huuñ ki sāqiyā hai azal se ḳhushk mirā galā

    na zabāñ ko mai milā mazā na lab-āshnā hue jaam se

    tirā soz-e-ishq hai zindagī tirā jazb-e-husn hai be-ḳhudī

    tujhe ke ḳhush hai tirā 'zakī' nahīñ kaam aish-e-davām se

    teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se

    tu hi zindagi ka hai muddaa mera nam tere hi nam se

    tera husn hai meri zindagi tera ishq hai meri aashiqi

    teri fikr hai meri shairi tera zikr mere kalam se

    tere husn ne ye ghazab kiya ki har ahl-e-dil hua mubtala

    jise dekha tera hi said tha na koi bacha tere dam se

    gai aadhi raat guzar magar na to aae KHud na li kuchh KHabar

    main taDap raha hun idhar udhar yunhi intizar mein sham se

    mere dilruba mere dilruba na ye lutf hai na koi ata

    agar aana hai to phir aa bhi ja na yun jhank rauzan-e-baam se

    ye ghalat hai kufr hai saqiya mujhe tera hi raha aasra

    tu pila pila tu pila pila nahin ijtinab haram se

    main wo tishna-lab hun ki saqiya hai azal se KHushk mera gala

    na zaban ko mai ka mila maza na lab-ashna hue jam se

    tera soz-e-ishq hai zindagi tera jazb-e-husn hai be-KHudi

    tujhe pa ke KHush hai tera 'zaki' nahin kaam aish-e-dawam se

    Source:

    Saaz-e-dil (Pg. 67)

    • Author: Zaki kakorvi
      • Edition: 1963
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now