Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri mahfil se jo uTh jaenge mehr-o-wafa wale

Badiuzzaman Sahar

teri mahfil se jo uTh jaenge mehr-o-wafa wale

Badiuzzaman Sahar

MORE BYBadiuzzaman Sahar

    tirī mahfil se jo uTh jā.eñge mehr-o-vafā vaale

    to pūchhegā tujhe phir kaun ai jaur-o-jafā vaale

    nigāh-e-yār itnī ‘ināyat ham pe ho jaatī

    ki duniyā ye samajh letī ki ham bhī haiñ ḳhudā vaale

    hamārī qadr kar pīr-e-muġhāñ ki vāste jin ke

    liye phirte haiñ jām-e-arġhavānī mai-kada vaale

    ye beḌā hai junūñ kab rukā bād-e-muḳhālif se

    nayā tūfān laa.eñ DhūñD DhūñDh kar balā vaale

    diye jalte na palkoñ par na bazm-e-ārzū sajtī

    baḌā ehsān dil par hai tirā jūd-o-saḳhā vaale

    tujhe apnoñ ne chhoḌā aur ġhairoñ ne hai apnāyā

    mubārak ho tujhe naql-e-makānī mustafā vaale

    ġhazal kahte na tujh par to bhalā kis ko patā chaltā

    ye chehra chaudhvīñ chāñd hai gesū ghaTā vaale

    taḳhallus hai 'sahar' dil galī shahr-e-mohabbat hai

    chale aao bahut āsān se haiñ ham patā vaale

    teri mahfil se jo uTh jaenge mehr-o-wafa wale

    to puchhega tujhe phir kaun ai jaur-o-jafa wale

    nigah-e-yar itni si ‘inayat hum pe ho jati

    ki duniya ye samajh leti ki hum bhi hain KHuda wale

    hamari qadr kar pir-e-mughan ki waste jin ke

    liye phirte hain jam-e-arghawani mai-kada wale

    ye beDa hai junun ka kab ruka baad-e-muKHalif se

    naya tufan laen DhunD DhunDh kar bala wale

    diye jalte na palkon par na bazm-e-arzu sajti

    baDa ehsan dil par hai tera jud-o-saKHa wale

    tujhe apnon ne chhoDa aur ghairon ne hai apnaya

    mubarak ho tujhe naql-e-makani mustafa wale

    ghazal kahte na tujh par to bhala kis ko pata chalta

    ye chehra chaudhwin ka chand hai gesu ghaTa wale

    taKHallus hai 'sahar' dil ki gali shahr-e-mohabbat hai

    chale aao bahut aasan se hain hum pata wale

    Source:

    Raqs-e-Sahar (Pg. 75)

    • Author: Badiuzzaman Sahar
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now