Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nigah ki aniyan jigar mein saliyan hain

Siraj Aurangabadi

teri nigah ki aniyan jigar mein saliyan hain

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    tirī nigāh aniyāñ jigar meñ saliyāñ haiñ

    najānūñ kaun se zahr-āb biich paliyāñ haiñ

    udhar siiñ tund nigāheñ idhar dil-e-nāzuk

    kidhar ke tiir choTeñ kidhar kuuñ chaliyāñ haiñ

    ḳhayāl-e-ġhuncha-dahan meñ za-bas-ki jaarī hai

    hamāre ashk laḌ motiye kaliyāñ haiñ

    zabān-e-hāl siiñ kahtā hai un naqsh-e-qadam

    bahisht-e-dīda-o-dil ḳhush-qadoñ galiyāñ haiñ

    na pūchh sarv un qumriyoñ kuuñ ḳhāk-nashīñ

    vo sho.ala-qad ke dukhoñ ai 'sirāj' jaliyāñ haiñ

    teri nigah ki aniyan jigar mein saliyan hain

    najaanun kaun se zahr-ab bich paliyan hain

    udhar sin tund nigahen idhar dil-e-nazuk

    kidhar ke tir ki choTen kidhar kun chaliyan hain

    KHayal-e-ghuncha-dahan mein za-bas-ki jari hai

    hamare ashk ki laD motiye ki kaliyan hain

    zaban-e-haal sin kahta hai un ka naqsh-e-qadam

    bahisht-e-dida-o-dil KHush-qadon ki galiyan hain

    na puchh sarw ka un qumriyon kun KHak-nashin

    wo shoala-qad ke dukhon ai 'siraj' jaliyan hain

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 503)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now