Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nigah mein ho husn-e-iltimas kahan

Mutrib Baliyavi

teri nigah mein ho husn-e-iltimas kahan

Mutrib Baliyavi

MORE BYMutrib Baliyavi

    tirī nigāh meñ ho husn-e-iltimās kahāñ

    bujhegī haa.e mire dil ab ye pyaas kahāñ

    yahāñ to band darīche haiñ aur kuchh bhī nahīñ

    mujhe le aa.ī hai ai nigāh-e-yās kahāñ

    ḳhulūs-o-mehr-o-vafā nazr-e-tajrabāt hue

    tamām jism barahna hai ab libās kahāñ

    na rang-e-'mīr' na 'ġhālib' fikr andāz

    mirī ġhazal meñ kisī bhī in.ikās kahāñ

    mileñge aap ko 'mutrib' adab-navāz bahut

    magar milegī nigāh-e-suḳhan-shanās kahāñ

    teri nigah mein ho husn-e-iltimas kahan

    bujhegi hae mere dil ki ab ye pyas kahan

    yahan to band dariche hain aur kuchh bhi nahin

    mujhe le aai hai tu ai nigah-e-yas kahan

    KHulus-o-mehr-o-wafa nazr-e-tajrabaat hue

    tamam jism barahna hai ab libas kahan

    na rang-e-'mir' na 'ghaalib' ki fikr ka andaz

    meri ghazal mein kisi ka bhi inikas kahan

    milenge aap ko 'mutrib' adab-nawaz bahut

    magar milegi nigah-e-suKHan-shanas kahan

    Source:

    Shajar-e-Dard Ke Phool (Pg. 46)

    • Author: Mutrib Baliyavi
      • Publisher: Book Land, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now