teri qudraton ka kamal hun mere kuza-gar
tirī qudratoñ kā kamāl huuñ mire kūza-gar
maiñ sarāpā husn-o-jamāl huuñ mire kūza-gar
mire pech-o-ḳham mire zāviyoñ meñ jhalak tirī
tire ḳhāl-o-ḳhad kī misāl huuñ mire kūza-gar
mujhe merī zaat ke hāshiyoñ meñ na qaid rakh
tirī 'azmatoñ kī misāl huuñ mire kūza-gar
tirī fikr ke hasīñ tāqchoñ meñ sajā huā
tirī ḳhalvatoñ kā ḳhayāl huuñ mire kūza-gar
kisī chaak kā kisī ḳhaak kā nahīñ mo'jiza
maiñ tirī nazar kā kamāl huuñ mire kūza-gar
maiñ tapā nahīñ maiñ jalā nahīñ kisī aag meñ
tirī hiddatoñ kā jalāl huuñ mire kūza-gar
jo machal rahī hai madhur sī chang-o-rabāb meñ
tire zamzamoñ kī vo taal huuñ mire kūza-gar
maiñ chaTaḳh gayā huuñ ki TūTne ke qarīb huuñ
zarā thaam ḳhasta-ḳhisāl huuñ mire kūza-gar
mujhe toḌ de yā bigāḌ de yā sañvār de
tire chaak hī kā manāl huuñ mire kūza-gar
mirī hai.ateñ na bigāḌ deñ mirī ḳhvāhisheñ
ki maiñ aap apnā vabāl huuñ mire kūza-gar
jo palaT ke soch meñ aa sakā na 'amar' kabhī
vahī bhūlā-bhaTkā ḳhayāl huuñ mire kūza-gar
teri qudraton ka kamal hun mere kuza-gar
main sarapa husn-o-jamal hun mere kuza-gar
mere pech-o-KHam mere zawiyon mein jhalak teri
tere KHal-o-KHad ki misal hun mere kuza-gar
mujhe meri zat ke hashiyon mein na qaid rakh
teri 'azmaton ki misal hun mere kuza-gar
teri fikr ke hasin taqchon mein saja hua
teri KHalwaton ka KHayal hun mere kuza-gar
kisi chaak ka kisi KHak ka nahin mo'jiza
main teri nazar ka kamal hun mere kuza-gar
main tapa nahin main jala nahin kisi aag mein
teri hiddaton ka jalal hun mere kuza-gar
jo machal rahi hai madhur si chang-o-rabab mein
tere zamzamon ki wo tal hun mere kuza-gar
main chaTaKH gaya hun ki TuTne ke qarib hun
zara tham KHasta-KHisal hun mere kuza-gar
mujhe toD de ya bigaD de ya sanwar de
tere chaak hi ka manal hun mere kuza-gar
meri haiaten na bigaD den meri KHwahishen
ki main aap apna wabaal hun mere kuza-gar
jo palaT ke soch mein aa saka na 'amar' kabhi
wahi bhula-bhaTka KHayal hun mere kuza-gar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.