Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri shikast ka harba talash karte hain

Zaki Tariq Barabankavi

teri shikast ka harba talash karte hain

Zaki Tariq Barabankavi

MORE BYZaki Tariq Barabankavi

    tirī shikast harba talāsh karte haiñ

    tujhe nahīñ tire jaisā talāsh karte haiñ

    charāġh phuul shagūfa dhanak sitāra chāñd

    ham ahl-e-zauq bhī kyā kyā talāsh karte haiñ

    sunā hai jab se ki ḳhushiyoñ e.atibār nahīñ

    ġhamoñ ko lamha-ba-lamha talāsh karte haiñ

    haiñ ramz-e-azmat-e-tishna-labī se ham vāqif

    ho pahra jis pe vo dariyā talāsh karte haiñ

    vo jis ko dekh ke hiss-e-latīf jaag uThe

    vahī badan vahī chehra talāsh karte haiñ

    sukūt-e-zāt sannāTā ab shabāb pe hai

    ham ek chāhne vaalā talāsh karte haiñ

    vahī ki saaya thā jis na koī saanī thā

    vo nuur nuur sarāpā talāsh karte haiñ

    unheñ milī hai virāsat meñ sabr tahzīb

    jo dard meñ mudāvā talāsh karte haiñ

    teri shikast ka harba talash karte hain

    tujhe nahin tere jaisa talash karte hain

    charagh phul shagufa dhanak sitara chand

    hum ahl-e-zauq bhi kya kya talash karte hain

    suna hai jab se ki KHushiyon ka eatibar nahin

    ghamon ko lamha-ba-lamha talash karte hain

    hain ramz-e-azmat-e-tishna-labi se hum waqif

    ho pahra jis pe wo dariya talash karte hain

    wo jis ko dekh ke hiss-e-latif jag uThe

    wahi badan wahi chehra talash karte hain

    sukut-e-zat ka sannaTa ab shabab pe hai

    hum ek chahne wala talash karte hain

    wahi ki saya tha jis ka na koi sani tha

    wo nur nur sarapa talash karte hain

    unhen mili hai wirasat mein sabr ki tahzib

    jo dard mein hi mudawa talash karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now