Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri talash mein bhaTka hun dar-ba-dar jaanan

Abdussamad Khateeb

teri talash mein bhaTka hun dar-ba-dar jaanan

Abdussamad Khateeb

MORE BYAbdussamad Khateeb

    tirī talāsh meñ bhaTkā huuñ dar-ba-dar jānāñ

    maiñ tujh ko bhuul na pā.ūñgā umr bhar jānāñ

    nahīñ hai tujh se kisī taur bhī mafar jānāñ

    hai qātil-e-dil chārāgar jānāñ

    mirī talāsh mirī aarzū mirī chāhat

    tirā jamāl tirā qurb-e-mo'atabar jānāñ

    ye āñkheñ tere jalvoñ haiñ amiiñ be-shak

    ye dil hai terī mohabbat mustaqar jānāñ

    nazar meñ hai ḳhayāloñ meñ hai dil meñ

    maiñ kab huā tirī jānib se be-ḳhabar jānāñ

    tirī yaad ne mahkā.e merī ruuh meñ zaḳhm

    tire sabab se hai ḳhushbū ye safar jānāñ

    hasīn yādoñ ik silsila thā TuuT gayā

    fazā meñ gūñjā jab āvāza-e-gajar jānāñ

    teri talash mein bhaTka hun dar-ba-dar jaanan

    main tujh ko bhul na paunga umr bhar jaanan

    nahin hai tujh se kisi taur bhi mafar jaanan

    hai tu hi qatil-e-dil tu hi chaaragar jaanan

    meri talash meri aarzu meri chahat

    tera jamal tera qurb-e-mo'atabar jaanan

    ye aankhen tere hi jalwon ki hain amin be-shak

    ye dil hai teri mohabbat ka mustaqar jaanan

    nazar mein tu hai KHayalon mein tu hai dil mein tu

    main kab hua teri jaanib se be-KHabar jaanan

    teri hi yaad ne mahkae meri ruh mein zaKHm

    tere sabab se hai KHushbu ka ye safar jaanan

    hasin yaadon ka ek silsila tha TuT gaya

    faza mein gunja jab aawaza-e-gajar jaanan

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now