Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri talash teri justuju utarti hai

Haneef Rahi

teri talash teri justuju utarti hai

Haneef Rahi

MORE BYHaneef Rahi

    tirī talāsh tirī justujū utartī hai

    mire shu.ūr ke kāġhaz pe utartī hai

    sañvārne ke bajā.e sañvarne lagtā hai

    jab aa.ine ke muqābil meñ utartī hai

    mere naam se mansūb hai zamāne meñ

    kuchh kare to mirī aabrū utartī hai

    maiñ dil ke paak se ḳhāne meñ us ko rakhtā huuñ

    tumhārī yaad bahut bā-vazū utartī hai

    maiñ aisā rind-e-balā-nosh mai-kade tire

    mire liye mai-e-jām-o-subū utartī hai

    is liye maiñ miyāna-ravī qaa.el huuñ

    zavāl se bhī bulandī utartī hai

    tirī sifāt meñ tahlīl ho gayā huuñ maiñ

    har ik adā meñ mirī terī ḳhū utartī hai

    maiñ tañg-dast kahāñ tak libās pahnā.ūñ

    barahna jism ka.ī aarzū utartī hai

    ye niiñd jis ko zamāna sukūñ samajhtā hai

    hamāre jism pe misl-e-adū utartī hai

    ye shā.irī ke anāsir bhī qudratī haiñ janāb

    ki fikr-o-fan tarañgoñ se utartī hai

    teri talash teri justuju utarti hai

    mere shuur ke kaghaz pe tu utarti hai

    sanwarne ke bajae sanwarne lagta hai

    jab aaine ke muqabil mein tu utarti hai

    tu mere nam se mansub hai zamane mein

    tu kuchh kare to meri aabru utarti hai

    main dil ke pak se KHane mein us ko rakhta hun

    tumhaari yaad bahut ba-wazu utarti hai

    main aisa rind-e-bala-nosh mai-kade ka tere

    mere liye mai-e-jam-o-subu utarti hai

    is liye main miyana-rawi ka qael hun

    zawal se bhi bulandi ki lu utarti hai

    teri sifat mein tahlil ho gaya hun main

    har ek ada mein meri teri KHu utarti hai

    main tang-dast kahan tak libas pahnaun

    barahna jism kai aarzu utarti hai

    ye nind jis ko zamana sukun samajhta hai

    hamare jism pe misl-e-adu utarti hai

    ye shairi ke anasir bhi qudrati hain janab

    ki fikr-o-fan ki tarangon se bu utarti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now