Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai

Nooh Narvi

teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    tirī tund-ḳhūī tirī kīna-jūī tirī kaj-adā.ī tirī bevafā.ī

    balā hai sitam hai ġhazab hai qayāmat duhā.ī duhā.ī duhā.ī duhā.ī

    haqīqat ne chakkar meñ Daalā thā ham ko tarīqat bure vaqt par kaam aa.ī

    hama-dast mas.ala jab hai aage to kaisī duī aur kaisī judā.ī

    udhar paas chilman ke maujūd the vo idhar the pareshān un ke fidā.ī

    rahā sharm-o-shoḳhī dilkash tamāshā na jalva dikhāyā na sūrat chhupā.ī

    madad kar zarā aur ai josh-e-ulfat ki armān dil nikal jaa.e dil se

    kabhī jalva-gah tak guzar ho hamārā abhī rahguzar tak huī hai rasā.ī

    bharam khul gayā us se ayyāriyoñ khulā raaz bhī us se makkāriyoñ

    churāyā thā tum ne agar dil hamārā to dil ko churā kar nazar kyuuñ churā.ī

    udhar sab se parda idhar sab meñ jalva yahāñ vaar ‘ālim vahāñ aur manzar

    kahīñ vo ayaañ hai kahīñ vo nihāñ hai kabhī husn-poshī kabhī ḳhud-numā.ī

    jahāñ meñ bashar un se ho be-ta'alluq koī maan le ham na māneñge us ko

    ki chāroñ taraf haiñ yahī chaar chīzeñ mohabbat adāvat bhalā.ī burā.ī

    barābar haiñ dair-o-haram ke marātib masāvī haiñ donoñ gharoñ haqīqat

    nahīñ farq kuchh bhī hamārī nazar meñ vahī but-parastī vahī jubba-sā.ī

    jinheñ aish-o-rāhat armān hogā unheñ aish-o-rāhat armān hogā

    tumhārī mohabbat meñ ham ne balā se vo paayā na paayā ye paa.ī na paa.ī

    ye bartāv kyā haiñ ye atvār kyā haiñ zarā aap socheñ zarā aap samjheñ

    hamīñ par kisī roz chashm-e-ināyat hamīñ se kisī vaqt be-e'tinā.ī

    bahār aa.e muzhda masarrat le kar dhuāñ-dhār uTThīñ falak par ghaTā.eñ

    idhar jaam chhalke udhar tauba TuuTe baham zohd-o-rindī meñ ho hāthā-pā.ī

    agar ho koī rū-shanāsī tālib to pahle muqallid bane aa.ine

    kudūrat se allāh mahfūz rakkhe baḌī shai hai duniyā meñ dil safā.ī

    ye tauqīr-o-tahqīr meñ bahs kaisī ki haiñ donoñ bāteñ ḳhudā taraf se

    vo raa.ī ko chāhe to parbat banā de vo parbat ko chāhe to ban jaa.e raa.ī

    kisī ko rulāo kisī ko jalāo kisī ko satāo kisī ko miTāo

    ḳhudā.ī ġham kyā zamāne Dar kyā tumhārā zamāna tumhārī ḳhudā.ī

    hazāroñ bakheḌe hazāroñ jhamele hazāroñ tavahhum hazāroñ taraddud

    magar aap aa.eñ to mehmān rakh luuñ mire dil meñ ab bhī hai utnī samā.ī

    jo bande ḳhudā ke ḳhudā par na rakkheñ to rakkheñ bharosa ḳhudā.ī meñ kis par

    banāyā unheñ ahl-e-hājat usī ne karegā vahī un hājat-ravā.ī

    ye andher khātā ye kufrān-e-ne.amat zamāne ko ai 'nūh' kyā ho gayā hai

    ḳhudā ke karam se to beḌā na Duube magar paa.e shohrat tirī nā-ḳhudā.ī

    teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai

    bala hai sitam hai ghazab hai qayamat duhai duhai duhai duhai

    haqiqat ne chakkar mein Dala tha hum ko tariqat bure waqt par kaam aai

    hama-dast ka masala jab hai aage to kaisi dui aur kaisi judai

    udhar pas chilman ke maujud the wo idhar the pareshan un ke fidai

    raha sharm-o-shoKHi ka dilkash tamasha na jalwa dikhaya na surat chhupai

    madad kar zara aur ai josh-e-ulfat ki arman dil ka nikal jae dil se

    kabhi jalwa-gah tak guzar ho hamara abhi rahguzar tak hui hai rasai

    bharam khul gaya us se ayyariyon ka khula raaz bhi us se makkariyon ka

    churaya tha tum ne agar dil hamara to dil ko chura kar nazar kyun churai

    udhar sab se parda idhar sab mein jalwa yahan war ‘alim wahan aur manzar

    kahin wo ayan hai kahin wo nihan hai kabhi husn-poshi kabhi KHud-numai

    jahan mein bashar un se ho be-ta'alluq koi man le hum na manenge us ko

    ki chaaron taraf hain yahi chaar chizen mohabbat adawat bhalai burai

    barabar hain dair-o-haram ke maraatib masawi hain donon gharon ki haqiqat

    nahin farq kuchh bhi hamari nazar mein wahi but-parasti wahi jubba-sai

    jinhen aish-o-rahat ka arman hoga unhen aish-o-rahat ka arman hoga

    tumhaari mohabbat mein hum ne bala se wo paya na paya ye pai na pai

    ye bartaw kya hain ye atwar kya hain zara aap sochen zara aap samjhen

    hamin par kisi roz chashm-e-inayat hamin se kisi waqt be-e'tinai

    bahaar aae muzhda masarrat ka le kar dhuan-dhaar uTThin falak par ghaTaen

    idhar jam chhalke udhar tauba TuTe baham zohd-o-rindi mein ho hatha-pai

    agar ho koi ru-shanasi ka talib to pahle muqallid bane aaine ka

    kudurat se allah mahfuz rakkhe baDi shai hai duniya mein dil ki safai

    ye tauqir-o-tahqir mein bahs kaisi ki hain donon baaten KHuda ki taraf se

    wo rai ko chahe to parbat bana de wo parbat ko chahe to ban jae rai

    kisi ko rulao kisi ko jalao kisi ko satao kisi ko miTao

    KHudai ka gham kya zamane ka Dar kya tumhaara zamana tumhaari KHudai

    hazaron bakheDe hazaron jhamele hazaron tawahhum hazaron taraddud

    magar aap aaen to mehman rakh lun mere dil mein ab bhi hai utni samai

    jo bande KHuda ke KHuda par na rakkhen to rakkhen bharosa KHudai mein kis par

    banaya unhen ahl-e-hajat usi ne karega wahi un ki hajat-rawai

    ye andher khata ye kufran-e-neamat zamane ko ai 'nuh' kya ho gaya hai

    KHuda ke karam se to beDa na Dube magar pae shohrat teri na-KHudai

    Source:

    Ejaz-e-Nooh (Pg. ebook-298 page-193)

    • Author: Mohammad Nooh Sahab Nooh
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now