teri yaad mein din basar ho raha hai
tirī yaad meñ din basar ho rahā hai
tirā zikr shām-o-sahar ho rahā hai
mirā dil mohabbat pe maa.il huā hai
tire husn kā kuchh asar ho rahā hai
tirī jhīl-āñkhoñ meñ Duubā hai kyā dil
shikārā koī dar-ba-dar ho rahā hai
gulābī laboñ kī vo bhīgī sī narmī
kañval koī shabnam se tar ho rahā hai
nahīñ hai koī mere zaḳhmoñ kā marham
pashemāñ mirā chārāgar ho rahā hai
tujhe us ne dil ke sadaf meñ utārā
'sahāb' ashk se tū guhar ho rahā hai
teri yaad mein din basar ho raha hai
tera zikr sham-o-sahar ho raha hai
mera dil mohabbat pe mail hua hai
tere husn ka kuchh asar ho raha hai
teri jhil-ankhon mein Duba hai kya dil
shikara koi dar-ba-dar ho raha hai
gulabi labon ki wo bhigi si narmi
kanwal koi shabnam se tar ho raha hai
nahin hai koi mere zaKHmon ka marham
pasheman mera chaaragar ho raha hai
tujhe us ne dil ke sadaf mein utara
'sahab' ashk se tu guhar ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.