tishnagi meri bujhao to qarar aa jae
tishnagī merī bujhāo to qarār aa jaa.e
dil ke ujḌe hue gulshan meñ bahār aa jaa.e
bārhā tū ne mujhe jhūTī tasallī de dī
tujh ko siine se lagā luuñ to qarār aa jaa.e
maiñ azal se tire dīdār kā tālib huuñ sanam
jaam ulfat kā pilā de ki ḳhumār aa jaa.e
dhuñdlī dhuñdlī sī nazar aatī hai tasvīr us kī
sāmne kaash mire ab mirā yaar aa jaa.e
tū ne 'ramman' ko sadā duur se dekhā hai sanam
ruḳh se tū parda haTā de to bahār aa jaa.e
tishnagi meri bujhao to qarar aa jae
dil ke ujDe hue gulshan mein bahaar aa jae
barha tu ne mujhe jhuTi tasalli de di
tujh ko sine se laga lun to qarar aa jae
main azal se tere didar ka talib hun sanam
jam ulfat ka pila de ki KHumar aa jae
dhundli dhundli si nazar aati hai taswir us ki
samne kash mere ab mera yar aa jae
tu ne 'ramman' ko sada dur se dekha hai sanam
ruKH se tu parda haTa de to bahaar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.