Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

titli se dosti na gulabon ka shauq hai

Charagh Sharma

titli se dosti na gulabon ka shauq hai

Charagh Sharma

MORE BYCharagh Sharma

    titlī se dostī na gulāboñ shauq hai

    merī tarah use bhī kitāboñ shauq hai

    varna to niiñd se bhī nahīñ koī ḳhaas rabt

    āñkhoñ ko sirf aap ke ḳhvāboñ shauq hai

    ham āshiq-e-ġhazal haiñ to maġhrūr kyoñ na hoñ

    āḳhir ye shauq bhī to navāboñ shauq hai

    us shaḳhs ke fareb se vāqif haiñ ham magar

    kuchh apnī pyaas ko sarāboñ shauq hai

    girne do ḳhud sambhalne do aise chalne do

    ye to 'charāġh' ḳhāna-ḳharāboñ shauq hai

    titli se dosti na gulabon ka shauq hai

    meri tarah use bhi kitabon ka shauq hai

    warna to nind se bhi nahin koi KHas rabt

    aankhon ko sirf aap ke KHwabon ka shauq hai

    hum aashiq-e-ghazal hain to maghrur kyon na hon

    aaKHir ye shauq bhi to nawabon ka shauq hai

    us shaKHs ke fareb se waqif hain hum magar

    kuchh apni pyas ko hi sarabon ka shauq hai

    girne do KHud sambhalne do aise hi chalne do

    ye to 'charagh' KHana-KHarabon ka shauq hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now