Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae

Sahir Ludhianvi

toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    toḌ leñge har ik shai se rishta toḌ dene naubat to aa.e

    ham qayāmat ke ḳhud muntazir haiñ par kisī din qayāmat to aa.e

    ham bhī suqrāt haiñ ahd-e-nau ke tishna-lab na mar jaa.eñ yaaro

    zahr ho mai-e-ātishīñ ho koī jām-e-shahādat to aa.e

    ek tahzīb hai dostī ek meyār hai dushmanī

    dostoñ ne muravvat na sīkhī dushmanoñ ko adāvat to aa.e

    rind raste meñ āñkheñ bichhā.eñ jo kahe bin sune maan jaa.eñ

    nāseh-e-nek-tīnat kisī shab sū-e-kū-e-malāmat to aa.e

    ilm o tahzīb tārīḳh o mantiq log socheñge in mas.aloñ par

    zindagī ke mashaqqat-kade meñ koī ahd-e-farāġhat to aa.e

    kaañp uTTheñ qasr-e-shāhī ke gumbad thartharā.e zamīñ mābadoñ

    kūcha-gardoñ vahshat to jaage ġham-zadoñ ko baġhāvat to aa.e

    toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae

    hum qayamat ke KHud muntazir hain par kisi din qayamat to aae

    hum bhi suqraat hain ahd-e-nau ke tishna-lab hi na mar jaen yaro

    zahr ho ya mai-e-atishin ho koi jam-e-shahadat to aae

    ek tahzib hai dosti ki ek meyar hai dushmani ka

    doston ne murawwat na sikhi dushmanon ko adawat to aae

    rind raste mein aankhen bichhaen jo kahe bin sune man jaen

    naseh-e-nek-tinat kisi shab su-e-ku-e-malamat to aae

    ilm o tahzib tariKH o mantiq log sochenge in masalon par

    zindagi ke mashaqqat-kade mein koi ahd-e-faraghat to aae

    kanp uTThen qasr-e-shahi ke gumbad thartharae zamin mabadon ki

    kucha-gardon ki wahshat to jage gham-zadon ko baghawat to aae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now