Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh but ka hun main barhaman kartar ki saugand hai

Obaidullah Khan Mubtala

tujh but ka hun main barhaman kartar ki saugand hai

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BYObaidullah Khan Mubtala

    tujh but huuñ maiñ barhaman kartār saugand hai

    japtā huuñ maalā yaar zunnār saugand hai

    bāñkā husn sun kar tirā ḳhūbāñ ne khāyā pech-o-tāb

    ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dār saugand hai

    ḳhūbāñ ḳhūbī hai ḳhizāñ terī bahār aañge sadā

    'āshiq kuuñ ai gulfām tujh ruḳhsār saugand hai

    rakhtā huuñ tujh suuñ chashm ye dil ai mah-e-nūr-e-nazar

    aa ke ḳhabar ik roz mujh bīmār saugand hai

    dariyā-e-vahdat meñ tire ai gauhar-e-yaktā-e-husn

    paayā nahīñ saanī tirā sansār saugand hai

    bin haar aa.e gul-ruḳhāñ tere gale paḌne katīñ

    jiitā to baare husn ke mizmār saugand hai

    sharmindagī suuñ chhupāyā quvvat apnī kaan meñ

    sun kar dur-afsānī tirī guftār saugand hai

    shamshīr-e-abrū bāñdh kar aayā sipāhī nain

    do Tok dil haiñ āshiqāñ talvār saugand hai

    sehn-e-chaman meñ gul-badan tan-zeb kiiñ tujh jaama kuuñ

    nain sukh hai terā dekhnā dīdār saugand hai

    tujh hijr meñ dil fuġhāñ suuñ aañkh na.iiñ lagtī kabhī

    kamḳhvāb hai maḳhmal mirā shab-e-tār saugand hai

    'ushshāq kuuñ ruḳhsat kiyā de paañ ḳhirad yaar ne

    rotā hai nis din 'mubtalā' ghar-bār saugand hai

    tujh but ka hun main barhaman kartar ki saugand hai

    japta hun mala yar ki zunnar ki saugand hai

    banka husn sun kar tera KHuban ne khaya pech-o-tab

    ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dar ki saugand hai

    KHuban ki KHubi hai KHizan teri bahaar aange sada

    'ashiq kun ai gulfam tujh ruKHsar ki saugand hai

    rakhta hun tujh sun chashm ye dil ai mah-e-nur-e-nazar

    aa ke KHabar ek roz mujh bimar ki saugand hai

    dariya-e-wahdat mein tere ai gauhar-e-yakta-e-husn

    paya nahin sani tera sansar ki saugand hai

    bin haar aae gul-ruKHan tere gale paDne katin

    jita to bare husn ke mizmar ki saugand hai

    sharmindagi sun ja chhupaya quwwat apni kan mein

    sun kar dur-afsani teri guftar ki saugand hai

    shamshir-e-abru bandh kar aaya sipahi nain ka

    do Tok dil hain aashiqan talwar ki saugand hai

    sehn-e-chaman mein gul-badan tan-zeb kin tujh jama kun

    nain sukh hai tera dekhna didar ki saugand hai

    tujh hijr mein dil ki fughan sun aankh nain lagti kabhi

    kamKHwab hai maKHmal mera shab-e-tar ki saugand hai

    'ushshaq kun ruKHsat kiya de pan KHirad ka yar ne

    rota hai nis din 'mubtala' ghar-bar ki saugand hai

    Source:

    Dewan-e-mubtalaáEk Eham Go Shayar-Muqallid Waliâ (Pg. B-89 E-90)

      • Edition: 1996
      • Publisher: Noorul Hasan Hashmi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now