Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko apna ke bhi apna nahin hone dena

Amir Ameer

tujhko apna ke bhi apna nahin hone dena

Amir Ameer

MORE BYAmir Ameer

    tujh ko apnā ke bhī apnā nahīñ hone denā

    zaḳhm-e-dil ko kabhī achchhā nahīñ hone denā

    maiñ to dushman ko bhī mushkil meñ kumak bhejūñgā

    itnī jaldī use paspā nahīñ hone denā

    ne merā nahīñ honā hai to phir yaad rahe

    maiñ ne tujh ko bhī kisī nahīñ hone denā

    ne kitnoñ ko nachāyā hai ishāroñ pe magar

    maiñ ne ai ishq! ye mujrā nahīñ hone denā

    us ne khaa.ī hai qasam phir se mujhe bhūlne

    maiñ ne is baar bhī aisā nahīñ hone denā

    zindagī meñ to tujhe chhoḌ detā lekin

    phir ye sochā tujhe beva nahīñ hone denā

    maz.hab-e-ishq koī chhoḌ mare to maiñ ne

    aise murtad janāza nahīñ hone denā

    tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena

    zaKHm-e-dil ko kabhi achchha nahin hone dena

    main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejunga

    itni jaldi use paspa nahin hone dena

    tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe

    main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena

    tu ne kitnon ko nachaya hai ishaaron pe magar

    main ne ai ishq! ye mujra nahin hone dena

    us ne khai hai qasam phir se mujhe bhulne ki

    main ne is bar bhi aisa nahin hone dena

    zindagi mein to tujhe chhoD hi deta lekin

    phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena

    mazhab-e-ishq koi chhoD mare to main ne

    aise murtad ka janaza nahin hone dena

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Amir Ameer

    Amir Ameer

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now