tujhko kya ho jata hai
tujh ko kyā ho jaatā hai
tū sab kā ho jaatā hai
aksar apne hone kā
andesha ho jaatā hai
aao sab āmīn kaheñ
sab achchhā ho jaatā hai
pyāse hoñTh nahīñ dikhte
tū andhā ho jaatā hai
ḳhuub mohabbat kartā huuñ
jaane kyā ho jaatā hai
aur to kyā ho paanā thā
pachhtāvā ho jaatā hai
tujh ko kya ho jata hai
tu sab ka ho jata hai
aksar apne hone ka
andesha ho jata hai
aao sab aamin kahen
sab achchha ho jata hai
pyase honTh nahin dikhte
tu andha ho jata hai
KHub mohabbat karta hun
jaane kya ho jata hai
aur to kya ho pana tha
pachhtawa ho jata hai
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 75)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.