Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko lagta hai to han Thik hai man-mani hai

Dheerendra Singh Faiyaz

tujhko lagta hai to han Thik hai man-mani hai

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    tujh ko lagtā hai to haañ Thiik hai man-mānī hai

    mujhe ab baat samajhnī hai na samjhānī hai

    varna vo ḳhvāb ki tā-umr na so.e koī

    niiñd aa jaatī hai is baat āsānī hai

    sat.h meñ is sivā ret ke ab kuchh bhī nahīñ

    ya.anī rone ke liye aañkh meñ bas paanī hai

    tajraba us ko bhī kuchh ḳhaas nahīñ duniyā

    ḳhaak ham ne bhī zamāne nahīñ chhānī hai

    mere chehre pe yahī dekh ke bikhrī muskān

    maiñ pareshān huuñ aur us ko pareshānī hai

    ishq meñ itnī suhūlat bhī nahīñ pāoge

    jaan par ban paḌī to jaan chalī jaanī hai

    ham kahāñ ruuh bātoñ meñ ulajh jaate haiñ

    darmiyāñ apne ta.alluq bhī to jismānī hai

    tujh ko lagta hai to han Thik hai man-mani hai

    mujhe ab baat samajhni hai na samjhani hai

    warna wo KHwab ki ta-umr na soe koi

    nind aa jati hai is baat ki aasani hai

    sath mein is ki siwa ret ke ab kuchh bhi nahin

    yani rone ke liye aankh mein bas pani hai

    tajraba us ko bhi kuchh KHas nahin duniya ka

    KHak hum ne bhi zamane ki nahin chhani hai

    mere chehre pe yahi dekh ke bikhri muskan

    main pareshan hun aur us ko pareshani hai

    ishq mein itni suhulat bhi nahin paoge

    jaan par ban paDi to jaan chali jaani hai

    hum kahan ruh ki baaton mein ulajh jate hain

    darmiyan apne talluq bhi to jismani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now