Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko malum nahin kya mere gham-KHwar rakhi

Samar Khanabadosh

tujhko malum nahin kya mere gham-KHwar rakhi

Samar Khanabadosh

MORE BYSamar Khanabadosh

    tujh ko mā'lūm nahīñ kyā mire ġham-ḳhvār rakhī

    ek 'arzī dar-e-ulfat pe ka.ī baar rakhī

    tujh se milne tamanna thī magar kyā kartā

    vaqt ne biich meñ bārūd dīvār rakhī

    sar nigūñ thā ki koī dekh ke āvāz na de

    'ishq ne aa ke mire sar pe dastār rakhī

    saj rahī thī pas-e-taḳh.īl koī shoḳh ġhazal

    ham ne kāġhaz pe tire naam takrār rakhī

    nam bhī honā nahīñ dariyā se guzar jaanā bhī

    ne ye shart bhī kyā soch ke ai yaar rakhī

    vaj.h-e-rusvā.ī na ban jaa.e 'adāvat kal phir

    us ne ġhusse ko piyā ham ne bhī talvār rakhī

    ham ne us shāḳh-e-tamannā pe numū paayā hai

    jis ne har rut meñ kahānī koī tayyār rakhī

    izn thā ḳhāna-ba-doshoñ ko bhī goyā.ī

    ham bhī mahfil meñ uThe ḳhvāhish-e-guftār rakhī

    tujh ko ma'lum nahin kya mere gham-KHwar rakhi

    ek 'arzi dar-e-ulfat pe kai bar rakhi

    tujh se milne ki tamanna thi magar kya karta

    waqt ne bich mein barud ki diwar rakhi

    sar nigun tha ki koi dekh ke aawaz na de

    'ishq ne aa ke mere sar pe hi dastar rakhi

    saj rahi thi pas-e-taKHil koi shoKH ghazal

    hum ne kaghaz pe tere nam ki takrar rakhi

    nam bhi hona nahin dariya se guzar jaana bhi

    tu ne ye shart bhi kya soch ke ai yar rakhi

    wajh-e-ruswai na ban jae 'adawat kal phir

    us ne ghusse ko piya hum ne bhi talwar rakhi

    hum ne us shaKH-e-tamanna pe numu paya hai

    jis ne har rut mein kahani koi tayyar rakhi

    izn tha KHana-ba-doshon ko bhi goyai ka

    hum bhi mahfil mein uThe KHwahish-e-guftar rakhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now