tujhko pa lun ya tere nam pe wara jaun

tujhko pa lun ya tere nam pe wara jaun
Musarif Husain Mansoori
MORE BYMusarif Husain Mansoori
tujh ko pā luuñ yā tire naam pe vaarā jā.ūñ
jang meñ haar se behtar hai ki maarā jā.ūñ
ye bhī ik zulm hai mujh par ki tire hote hue
maiñ kisī aur ke hoñToñ se pukārā jā.ūñ
har darīche ko nahīñ miltī shu'ā'-e-mahtāb
maiñ bhī kyūñkar tirī āñkhoñ se nihārā jā.ūñ
kaise dikhte haiñ yahāñ 'ishq meñ marne vaale
dekhnā jab kabhī suulī se utārā jā.ūñ
baa'd marne ke janāze se sadā aa.egī
pahle mahbūb kī galiyoñ se guzārā jā.ūñ
tujh ko pa lun ya tere nam pe wara jaun
jang mein haar se behtar hai ki mara jaun
ye bhi ek zulm hai mujh par ki tere hote hue
main kisi aur ke honTon se pukara jaun
har dariche ko nahin milti shu'a'-e-mahtab
main bhi kyunkar teri aankhon se nihaara jaun
kaise dikhte hain yahan 'ishq mein marne wale
dekhna jab kabhi suli se utara jaun
ba'd marne ke janaze se sada aaegi
pahle mahbub ki galiyon se guzara jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.