aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko sochon to tere jism ki KHushbu aae

Shakeel Azmi

tujhko sochon to tere jism ki KHushbu aae

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    tujh ko sochoñ to tire jism ḳhushbū aa.e

    merī ġhazloñ meñ alāmat tarah aa.e

    maiñ tujhe chheḌ ke ḳhāmosh rahūñ sab boleñ

    bātoñ bātoñ meñ koī aisā bhī pahlū aa.e

    qarz hai mujh pe bahut raat tanhā.ī

    mere kamre meñ koī chāñd na jugnū aa.e

    lag ke soī hai koī raat mire siine se

    subah ho jaa.e ki jazbāt pe qaabū aa.e

    chāhtā huuñ ki mirī pyaas mātam yuuñ ho

    phir na is dasht meñ mujh koī aahū aa.e

    us paikar ka.ī qistoñ meñ chhape novel

    kabhī chehra kabhī āñkheñ kabhī gesū aa.e

    phir mujhe vazn kiyā jaa.e shahādat ke liye

    phir adālat meñ koī le ke tarāzū aa.e

    ab ke mausam meñ ye dīvār bhī gir jaa.e 'shakīl'

    is tarah jism buniyād meñ aañsū aa.e

    tujh ko sochon to tere jism ki KHushbu aae

    meri ghazlon mein alamat ki tarah tu aae

    main tujhe chheD ke KHamosh rahun sab bolen

    baaton baaton mein koi aisa bhi pahlu aae

    qarz hai mujh pe bahut raat ki tanhai ka

    mere kamre mein koi chand na jugnu aae

    lag ke soi hai koi raat mere sine se

    subah ho jae ki jazbaat pe qabu aae

    chahta hun ki meri pyas ka matam yun ho

    phir na is dasht mein mujh sa koi aahu aae

    us ka paikar kai qiston mein chhape nowel sa

    kabhi chehra kabhi aankhen kabhi gesu aae

    phir mujhe wazn kiya jae shahadat ke liye

    phir adalat mein koi le ke taraazu aae

    ab ke mausam mein ye diwar bhi gir jae 'shakil'

    is tarah jism ki buniyaad mein aansu aae

    Source:

    Dhoop Dariya (Pg. B-57 E-59)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Edition: 1986
      • Publisher: Jawaz Publications, Malegaon
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now