Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko to malum tha mere yar udasi hai

Siddharth Saaz

tujhko to malum tha mere yar udasi hai

Siddharth Saaz

MORE BYSiddharth Saaz

    tujh ko to ma.alūm thā mere yaar udāsī hai

    tujh se to ham kahte the yaar udāsī hai

    tere hissa meñ avval ḳhushiyāñ hoñgī shāyad

    par mere hissa meñ pahle yaar udāsī hai

    mere paas nahīñ hai koī tere paas huuñ maiñ

    phir terī āñkhoñ meñ kaise yaar udāsī hai

    ḳhud ko hañstā jab bhī dekhūñ ro detā huuñ maiñ

    chhā.ī is darje mujh pe yaar udāsī hai

    jis ko gumāñ ho mere yuuñ be-bāt hañsne pe

    vo merī āñkhoñ meñ dekhe yaar udāsī hai

    jo sāvan hote sūkhā us phuul pe la.anat ho

    mujh pe la.anat tere hote yaar udāsī hai

    tujh ko hañstā dekh ke to zinda haiñ sab log

    tujh se koī kaise kah de yaar udāsī hai

    isī udāsī ne ḳhush-nazarī hai sauġhāt

    dekho to kahne ko vaise yaar udāsī hai

    tujh ko to malum tha mere yar udasi hai

    tujh se hi to hum kahte the yar udasi hai

    tere hissa mein awwal KHushiyan hongi shayad

    par mere hissa mein pahle yar udasi hai

    mere pas nahin hai koi tere pas hun main

    phir teri aankhon mein kaise yar udasi hai

    KHud ko hansta jab bhi dekhun ro deta hun main

    chhai is darje ki mujh pe yar udasi hai

    jis ko guman ho mere yun be-baat hi hansne pe

    wo meri aankhon mein dekhe yar udasi hai

    jo sawan hote sukha us phul pe lanat ho

    mujh pe lanat tere hote yar udasi hai

    tujh ko hansta dekh ke hi to zinda hain sab log

    tujh se koi kaise kah de yar udasi hai

    isi udasi ne KHush-nazari ki di hai saughat

    dekho to kahne ko waise yar udasi hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Siddharth Saaz

    Siddharth Saaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now