tujhko yaksar bhula diya jae
tujh ko yaksar bhulā diyā jaa.e
yā'nī ḳhud ko fanā kiyā jaa.e
ab vo aatī nahīñ hai ḳhvāboñ meñ
apnī āñkhoñ ko sī liyā jaa.e
us kī chāhat kā ye taqāzā hai
zahr hāthoñ se pī liyā jaa.e
us ke bachche bhī she'r sunte haiñ
un ko mujh se milā diyā jaa.e
mar hī jaanā hai saath rah kar to
kyoñ bichhaḌ kar ke phir jiyā jaa.e
tujh ko yaksar bhula diya jae
ya'ni KHud ko fana kiya jae
ab wo aati nahin hai KHwabon mein
apni aankhon ko si liya jae
us ki chahat ka ye taqaza hai
zahr hathon se pi liya jae
us ke bachche bhi she'r sunte hain
un ko mujh se mila diya jae
mar hi jaana hai sath rah kar to
kyon bichhaD kar ke phir jiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.