tujh mein dekhi hai bebasi apni
tujh meñ dekhī hai bebasī apnī
miltī-jultī hai zindagī apnī
itne achchhe haiñ dost ham donoñ
sab ko khaltī hai dostī apnī
ek din rab bhī mehrbāñ hogā
rang lā.egī bandagī apnī
yuuñ jalā.eñge pyaar ke dīpak
duur tak hogī raushnī apnī
phir na aise mareñge dīvāne
kaam aa.egī ḳhud-kushī apnī
tujh mein dekhi hai bebasi apni
milti-julti hai zindagi apni
itne achchhe hain dost hum donon
sab ko khalti hai dosti apni
ek din rab bhi mehrban hoga
rang laegi bandagi apni
yun jalaenge pyar ke dipak
dur tak hogi raushni apni
phir na aise marenge diwane
kaam aaegi KHud-kushi apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.