tujh mein KHu-e-wafa nahin baqi
tujh meñ ḳhū-e-vafā nahīñ baaqī
lab pe harf-e-du'ā nahīñ baaqī
kyā ḳhitābat meñ sho'lagī aa.e
'ishq do-ātisha nahīñ baaqī
zulm Dhāne se ho gayā taa.ib
us meñ bū-e-jafā nahīñ baaqī
phir vo mahbūb kaise kahlā.e
jis meñ nāz-o-adā nahīñ baaqī
pher lī maiñ ne jab nazar tujh se
ab tirā aa.ina nahīñ baaqī
tīrgī is qadar mire maulā
ab to saaya mirā nahīñ baaqī
zard rut kā 'azāb to dekho
ik shajar bhī harā nahīñ baaqī
muntazir hashr kī hai 'tamsīla'
koī rab ke sivā nahīñ baaqī
tujh mein KHu-e-wafa nahin baqi
lab pe harf-e-du'a nahin baqi
kya KHitabat mein sho'lagi aae
'ishq do-atisha nahin baqi
zulm Dhane se ho gaya taib
us mein bu-e-jafa nahin baqi
phir wo mahbub kaise kahlae
jis mein naz-o-ada nahin baqi
pher li main ne jab nazar tujh se
ab tera aaina nahin baqi
tirgi is qadar mere maula
ab to saya mera nahin baqi
zard rut ka 'azab to dekho
ek shajar bhi hara nahin baqi
muntazir hashr ki hai 'tamsila'
koi rab ke siwa nahin baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.