Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta

Rasheed Qaisrani

tujhse bhi hasin hai tere afkar ka rishta

Rasheed Qaisrani

MORE BYRasheed Qaisrani

    tujh se bhī hasīñ hai tire afkār rishta

    maañg le mujh se mire ash.ār rishta

    vo dhuup meñ nikhrā huā billor paikar

    chāñdī chamaktā huā dīdār rishta

    tanhā.ī meñ pahuñche to sabhī the tahī-dāmāñ

    bāzār meñ chhoḌ aa.e the bāzār rishta

    ik aur girah saañs Dorī meñ paḌegī

    yaad aayā mujhe bhūlā huā pyaar rishta

    afkār ke jañgal meñ khaḌā soch rahā huuñ

    kis tarah ma.ānī se ho iz.hār rishta

    kyuuñ yaad dilāte ho 'rashīd' un ko ye bandhan

    ab kaun nibhātā hai ye bekār rishta

    tujh se bhi hasin hai tere afkar ka rishta

    tu mang le mujh se mere ashaar ka rishta

    wo dhup mein nikhra hua billor sa paikar

    chandi sa chamakta hua didar ka rishta

    tanhai mein pahunche to sabhi the tahi-daman

    bazar mein chhoD aae the bazar ka rishta

    ek aur girah sans ki Dori mein paDegi

    yaad aaya mujhe bhula hua pyar ka rishta

    afkar ke jangal mein khaDa soch raha hun

    kis tarah maani se ho izhaar ka rishta

    kyun yaad dilate ho 'rashid' un ko ye bandhan

    ab kaun nibhata hai ye bekar ka rishta

    Source:

    Fasiil-e-lab (Pg. 81)

    • Author: Rashiid Qaisarani
      • Edition: 1973
      • Publisher: Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now