Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhse bichhDun to ye KHadsha hai akela ho jaun

Suleman Khumar

tujhse bichhDun to ye KHadsha hai akela ho jaun

Suleman Khumar

MORE BYSuleman Khumar

    tujh se bichhḌūñ to ye ḳhadsha hai akelā ho jā.ūñ

    ghor tanhā.ī ke jañgal maiñ hissa ho jā.ūñ

    ik tire dam se shādāb hai ye merā vajūd

    nazar pher le mujh se to maiñ sahrā ho jā.ūñ

    dil dīvāroñ pe marqūm rahe naam mirā

    qabl is ke ki maiñ bhūlā huā qissa ho jā.ūñ

    agar dil meñ basā le to banūñ maiñ shā.ir

    jo hoñToñ pe sajā le to maiñ naġhma ho jā.ūñ

    aisā ho jaa.e na sūjhe tujhe kuchh mere sivā

    aisā ho jaa.e ki maiñ tirī duniyā ho jā.ūñ

    jāntā huuñ maiñ tirī surma.ī āñkhoñ tilism

    ik nazar mujh pe bhī maiñ bhī tire jaisā ho jā.ūñ

    maiñ adhūrā huuñ bahut tujh se bichhaḌ kar ai dost

    jo mil jaa.e dobāra to maiñ saarā ho jā.ūñ

    tujh se bichhDun to ye KHadsha hai akela ho jaun

    ghor tanhai ke jangal ka main hissa ho jaun

    ek tere dam se hi shadab hai ye mera wajud

    tu nazar pher le mujh se to main sahra ho jaun

    dil ki diwaron pe marqum rahe nam mera

    qabl is ke ki main bhula hua qissa ho jaun

    tu agar dil mein basa le to banun main shair

    tu jo honTon pe saja le to main naghma ho jaun

    aisa ho jae na sujhe tujhe kuchh mere siwa

    aisa ho jae ki main hi teri duniya ho jaun

    jaanta hun main teri surmai aankhon ka tilism

    ek nazar mujh pe bhi main bhi tere jaisa ho jaun

    main adhura hun bahut tujh se bichhaD kar ai dost

    tu jo mil jae dobara to main sara ho jaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now