tujhse do-chaar hoga jo koi rah jate
tujh se do-chār hogā jo koī raah jaate
phir 'umr chāhiyegī us ko bahāl aate
gar dil kī be-qarārī hotī yahī jo ab hai
to ham sitam-rasīda kaahe ko jiine paate
ve din ga.e ki uTh kar jaate the us galī meñ
ab sa'ī chāhiye hai bālīñ se sar uThāte
kab thī hameñ tamanna ai zo'f ye ki taḌpeñ
par zer-e-teġh us kī ham Tuk to sar hilāte
gar jānte ki yuuñ hī barbād jā.eñge to
kaahe ko ḳhaak meñ ham apne ta.iiñ milāte
shāyad ki ḳhuun dil kā pohñchā hai vaqt-e-āḳhir
tham jaate haiñ kuchh aañsū rātoñ ko aate aate
us samt ko palaTtī terī nigah to saaqī
hāl-e-ḳharāb-e-majlis ham shaiḳh ko dikhāte
jī denā dil-dahī se behtar thā sad-marātib
ai kaash jaan dete ham bhī na dil lagāte
shab kotah aur qissa un kā darāz varna
ahvāl-e-'mīr' sāhib ham tujh ko sab sunāte
tujh se do-chaar hoga jo koi rah jate
phir 'umr chahiyegi us ko bahaal aate
gar dil ki be-qarari hoti yahi jo ab hai
to hum sitam-rasida kahe ko jine pate
we din gae ki uTh kar jate the us gali mein
ab sa'i chahiye hai baalin se sar uThate
kab thi hamein tamanna ai zo'f ye ki taDpen
par zer-e-tegh us ki hum Tuk to sar hilate
gar jaante ki yun hi barbaad jaenge to
kahe ko KHak mein hum apne tain milate
shayad ki KHun dil ka pohncha hai waqt-e-aKHir
tham jate hain kuchh aansu raaton ko aate aate
us samt ko palaTti teri nigah to saqi
haal-e-KHarab-e-majlis hum shaiKH ko dikhate
ji dena dil-dahi se behtar tha sad-maraatib
ai kash jaan dete hum bhi na dil lagate
shab kotah aur qissa un ka daraaz warna
ahwal-e-'mir' sahib hum tujh ko sab sunate
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0494
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.