Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhse milne ki aarzu hai bahut

Akhtar Gwaliori

tujhse milne ki aarzu hai bahut

Akhtar Gwaliori

MORE BYAkhtar Gwaliori

    tujh se milne aarzū hai bahut

    is liye terī justujū hai bahut

    zindagī ke nigār-ḳhāne meñ

    ek maiñ aur ek hai bahut

    nāseh-e-mohtaram ḳhudā-hāfiz

    aaj itnī guftugū hai bahut

    gardish-e-vaqt tujh se laḌne ko

    in ragoñ meñ abhī lahū hai bahut

    saarī duniyā beTiyāñ sun leñ

    is ġharībī meñ aabrū hai bahut

    tujh se milne ki aarzu hai bahut

    is liye teri justuju hai bahut

    zindagi ke nigar-KHane mein

    ek main aur ek tu hai bahut

    naseh-e-mohtaram KHuda-hafiz

    aaj itni hi guftugu hai bahut

    gardish-e-waqt tujh se laDne ko

    in ragon mein abhi lahu hai bahut

    sari duniya ki beTiyan sun len

    is gharibi mein aabru hai bahut

    Source:

    Lamhon Ki Kasak (Pg. 112)

    • Author: Akhtar Gwaliori
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now