Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe apni fazaon par pasheman kaun dekhega

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

tujhe apni fazaon par pasheman kaun dekhega

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    tujhe apnī fazāoñ par pashemāñ kaun dekhegā

    tirā ġham sah ke bhī tujh ko pareshāñ kaun dekhegā

    na aa.eñ vo nazar andar to bāhar taraf dekhūñ

    tasavvur hai to phir tasvīr-e-jānāñ kaun dekhegā

    kisī ke nuur jab dīda-o-dil meñ tajallī hai

    to phir bazm-e-jahāñ ke ab charāġhāñ kaun dekhegā

    sunegā kaun is shor-e-jahāñ meñ dhaḌkaneñ dil

    mirā bhīgā huā ashkoñ se dāmāñ kaun dekhegā

    jahāñ sub.h-e-vatan jaatī hai rañg-o-nūr barsātī

    vahāñ be-kaif shām-e-ġharībāñ kaun dekhegā

    tire dar par jamī hai har pareshāñ-hāl nazreñ

    na dekhe to phir hāl-e-pareshāñ kaun dekhegā

    jahāñ ne sirf ye dekhā ki sāhil par salāmat huuñ

    uThā hai jo mire siine meñ tūfāñ kaun dekhegā

    'habīb' āñkhoñ ko apnī band kar ke chaleñ varna

    sar-e-bāzār biktā ḳhūn-e-insāñ kaun dekhegā

    tujhe apni fazaon par pasheman kaun dekhega

    tera gham sah ke bhi tujh ko pareshan kaun dekhega

    na aaen wo nazar andar to bahar ki taraf dekhun

    tasawwur hai to phir taswir-e-jaanan kaun dekhega

    kisi ke nur ki jab dida-o-dil mein tajalli hai

    to phir bazm-e-jahan ke ab charaghan kaun dekhega

    sunega kaun is shor-e-jahan mein dhaDkanen dil ki

    mera bhiga hua ashkon se daman kaun dekhega

    jahan subh-e-watan jati hai rang-o-nur barsati

    wahan be-kaif si sham-e-ghariban kaun dekhega

    tere dar par jami hai har pareshan-haal ki nazren

    na tu dekhe to phir haal-e-pareshan kaun dekhega

    jahan ne sirf ye dekha ki sahil par salamat hun

    uTha hai jo mere sine mein tufan kaun dekhega

    'habib' aankhon ko apni band kar ke hi chalen warna

    sar-e-bazar bikta KHun-e-insan kaun dekhega

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 42)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now