Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq

Qalaq Merathi

tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    tujhe kal se nahīñ be-kalī na kuchh aaj se rahā qalaq

    tirī umr saarī yūñhī kaTī hamesha yūñhī jiyā 'qalaq'

    huā dil ke jaane ab yaqīñ ki vo dard-e-bar meñ mare nahīñ

    na vo iztirāb-e-qazā kahīñ na vo hashr-ḳhez balā 'qalaq'

    mujhe hashr kar diyā baiThnā mujhe qahr ho gayā Thaharnā

    hai basān-e-sabr gurez-pā nahīñ ġham-gusār mirā qalaq

    unheñ naala karne rañj kyā unheñ aah bharne rañj kyā

    unheñ mere marne rañj kyā unheñ mere jaane kyā qalaq

    yahī rashk ne diye mashvare kabhī parda un na kholiye

    mire meñ phirā kiye mire dil dil meñ rahā qalaq

    na to ro.e ġhair na ghar rahe na shab-e-firāq meñ mar rahe

    na vafā kare na sitam sahe na jafā huī na huā qalaq

    na vo maiñ rahā na vo rahā na vo aarzū na vo mudda.ā

    huā zindagī bhī faisla magar ek terā rahā qalaq

    rahe laakh sadme nafas nafas jiye kyuuñ ki koī parā.e bas

    shab-e-vasl marne thī havas shab-e-hijr jiine thā qalaq

    nahīñ chain un ko bhī ek dam ki hai fikr-e-jaur ġham ġham

    hue mujh pe roz na.e sitam rahā un ko roz nayā qalaq

    kare rabt koī kisī se kyā ki uThā tarīq nibāh

    na karegī tujh se vafā jafā na karegā mujh se vafā qalaq

    maiñ jalā to sho.ale meñ josh thā jo huā maiñ ḳhaak hai zalzala

    maiñ hazār shakl badal chukā pa kisī tarah na chhupā qalaq

    nahīñ tere phirne kuchh gila ki zamāna saarā badal gayā

    jo shab-e-visāl meñ chain thā vahī roz-e-hijr banā qalaq

    vo hai iltifāt dam-e-sitam ki ziyāda is se nahīñ karam

    mire chāk-e-dil rafū alam mire dard-e-jāñ davā qalaq

    ga.e vaañ bhī par na ghaTā alam chhuTe sab se par na chhuTā alam

    mire paas se na haTā alam mire saath se na Talā qalaq

    abhī thā salā-e-zan-e-sabaq abhī thī kitāb-e-varaq-varaq

    kabhī madrase meñ rahā 'qalaq' kabhī mai-kade meñ rahā 'qalaq'

    tujhe kal hi se nahin be-kali na kuchh aaj hi se raha qalaq

    teri umr sari yunhi kaTi tu hamesha yunhi jiya 'qalaq'

    hua dil ke jaane ka ab yaqin ki wo dard-e-bar mein mare nahin

    na wo iztirab-e-qaza kahin na wo hashr-KHez bala 'qalaq'

    mujhe hashr kar diya baiThna mujhe qahr ho gaya Thaharna

    hai basan-e-sabr gurez-pa nahin gham-gusar mera qalaq

    unhen nala karne ka ranj kya unhen aah bharne ka ranj kya

    unhen mere marne ka ranj kya unhen mere jaane ka kya qalaq

    yahi rashk ne diye mashware kabhi parda un ka na kholiye

    mere ji hi ji mein phira kiye mere dil hi dil mein raha qalaq

    na to roe ghair na ghar rahe na shab-e-firaq mein mar rahe

    na wafa kare na sitam sahe na jafa hui na hua qalaq

    na wo main raha na wo tu raha na wo aarzu na wo muddaa

    hua zindagi ka bhi faisla magar ek tera raha qalaq

    rahe lakh sadme nafas nafas jiye kyun ki koi parae bas

    shab-e-wasl marne ki thi hawas shab-e-hijr jine ka tha qalaq

    nahin chain un ko bhi ek dam ki hai fikr-e-jaur ka gham sa gham

    hue mujh pe roz nae sitam raha un ko roz naya qalaq

    kare rabt koi kisi se kya ki uTha tariq nibah ka

    na karegi tujh se wafa jafa na karega mujh se wafa qalaq

    main jala to shoale mein josh tha jo hua main KHak hai zalzala

    main hazar shakl badal chuka pa kisi tarah na chhupa qalaq

    nahin tere phirne ka kuchh gila ki zamana sara badal gaya

    jo shab-e-visal mein chain tha wahi roz-e-hijr bana qalaq

    wo hai iltifat dam-e-sitam ki ziyaada is se nahin karam

    mere chaak-e-dil ka rafu alam mere dard-e-jaan ki dawa qalaq

    gae wan bhi par na ghaTa alam chhuTe sab se par na chhuTa alam

    mere pas se na haTa alam mere sath se na Tala qalaq

    abhi tha sala-e-zan-e-sabaq abhi thi kitab-e-waraq-waraq

    kabhi madrase mein raha 'qalaq' kabhi mai-kade mein raha 'qalaq'

    Source:

    Kulliyat-e-Qalaq (Pg. ebook-205 page-127)

    • Author: Qalaq Merathi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now