tujhe kaun jaanta tha meri dosti se pahle
tujhe kaun jāntā thā mirī dostī se pahle
tirā husn kuchh nahīñ thā mirī shā.irī se pahle
idhar aa raqīb mere maiñ tujhe gale lagā luuñ
mirā ishq be-mazā thā tirī dushmanī se pahle
ka.ī inqilāb aa.e ka.ī ḳhush-ḳhirām guzre
na uThī magar qayāmat tirī kam-sinī se pahle
mirī sub.h ke sitāre tujhe DhūñDtī haiñ āñkheñ
kahīñ raat Das na jaa.e tirī raushnī se pahle
tujhe kaun jaanta tha meri dosti se pahle
tera husn kuchh nahin tha meri shairi se pahle
idhar aa raqib mere main tujhe gale laga lun
mera ishq be-maza tha teri dushmani se pahle
kai inqilab aae kai KHush-KHiram guzre
na uThi magar qayamat teri kam-sini se pahle
meri subh ke sitare tujhe DhunDti hain aankhen
kahin raat Das na jae teri raushni se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.