tujhe KHabar ho to bol ai mere sitara-e-shab
tujhe ḳhabar ho to bol ai mire sitāra-e-shab
mirī samajh meñ to aatā nahīñ ishāra-e-shab
use maiñ ek musalsal charāġh kar detā
mirī giraft meñ hotā jo isti.āra-e-shab
maiñ ik charāġh kahāñ tak muzāhimat kartā
mire ḳhilāf thā kitnā baḌā idāra-s-shab
bahut se chāñd bahut se charāġh kam nikle
banāne baiThā jo maiñ raat goshvāra-e-shab
kisī bhī sub.h kā marham asar nahīñ kartā
ki har sahar hai yahāñ dūsrā kināra-e-shab
tujhe KHabar ho to bol ai mere sitara-e-shab
meri samajh mein to aata nahin ishaara-e-shab
use main ek musalsal charagh kar deta
meri giraft mein hota jo istiara-e-shab
main ek charagh kahan tak muzahimat karta
mere KHilaf tha kitna baDa idara-s-shab
bahut se chand bahut se charagh kam nikle
banane baiTha jo main raat goshwara-e-shab
kisi bhi subh ka marham asar nahin karta
ki har sahar hai yahan dusra kinara-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.