Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya maine

Sajjad Baluch

tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya maine

Sajjad Baluch

MORE BYSajjad Baluch

    tujhe kho kar mohabbat ko ziyāda kar liyā maiñ ne

    ye kis hairat meñ ā.īna kushāda kar liyā maiñ ne

    mujhe pechīda jazboñ kahānī nazm karnā thī

    so jitnā ho sakā uslūb saada kar liyā maiñ ne

    mohabbat sunā thā zaat takmīl kartī hai

    magar is aarzū meñ ḳhud ko aadhā kar liyā maiñ ne

    shikast-e-ḳhvāb par ḳhvāb buniyād rakhnā thī

    dar-e-imkān phir se īstāda kar liyā maiñ ne

    na.ī rut meñ mohabbat i.aada chāhtā thā vo

    purāne tajrabe se istifāda kar liyā maiñ ne

    sar-e-sāhil mujhe pīchhe se ab āvāz mat denā

    yahāñ se paar jaane irāda kar liyā maiñ ne

    tujhe kho kar mohabbat ko ziyaada kar liya main ne

    ye kis hairat mein aaina kushada kar liya main ne

    mujhe pechida jazbon ki kahani nazm karna thi

    so jitna ho saka uslub sada kar liya main ne

    mohabbat ka suna tha zat ki takmil karti hai

    magar is aarzu mein KHud ko aadha kar liya main ne

    shikast-e-KHwab par hi KHwab ki buniyaad rakhna thi

    dar-e-imkan phir se istada kar liya main ne

    nai rut mein mohabbat ka iada chahta tha wo

    purane tajrabe se istifada kar liya main ne

    sar-e-sahil mujhe pichhe se ab aawaz mat dena

    yahan se par jaane ka irada kar liya main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now