Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai

Shafeeq Barelvi

tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai

Shafeeq Barelvi

MORE BYShafeeq Barelvi

    tujhe kyā batā.ūñ maiñ ham-nashīñ mirī zindagī jo haal hai

    na masarratoñ koī ḳhushī na ġhamoñ koī malāl hai

    ye ajab tarah hai zindagī na firāq hai na visāl hai

    unheñ chhoḌ duuñ ye ravā nahīñ unheñ sakūñ ye muhāl hai

    ye to sach hai nāseh-e-mohtaram ġham-e-dil chāhiye kuchh bharam

    na ho mustahqiq-e-jafā bhī jab to vafā kis ko majāl hai

    mirī har nazar se unheñ gila hai azāb-e-jāñ mirī har adā

    karam-o-vafā ye hai sila ye mohabbatoñ ma.aal hai

    mirī baat baat meñ aib hai mirā har ḳhulūs fareb hai

    mirā dil bhī kitnā ajiib hai mujhe phir bhī un ḳhayāl hai

    jahāñ ashk qatra-e-āb hoñ jahāñ naale vaj.h-e-itāb hoñ

    vahāñ bār-bār sadā-e-ġham ye niyāz-e-ġham kamāl hai

    tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai

    na masarraton ki koi KHushi na ghamon ka koi malal hai

    ye ajab tarah ki hai zindagi na firaq hai na visal hai

    unhen chhoD dun ye rawa nahin unhen pa sakun ye muhaal hai

    ye to sach hai naseh-e-mohtaram gham-e-dil ka chahiye kuchh bharam

    na ho mustahqiq-e-jafa bhi jab to wafa ki kis ko majal hai

    meri har nazar se unhen gila hai azab-e-jaan meri har ada

    karam-o-wafa ka ye hai sila ye mohabbaton ka maal hai

    meri baat baat mein aib hai mera har KHulus fareb hai

    mera dil bhi kitna ajib hai mujhe phir bhi un ka KHayal hai

    jahan ashk qatra-e-ab hon jahan nale wajh-e-itab hon

    wahan bar-bar sada-e-gham ye niyaz-e-gham ka kamal hai

    Source:

    Gohar Hone Tak (Pg. 146)

    • Author: Shafeeq Barelvi
      • Publisher: Shafeeq Barelvi
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now