Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kya KHabar hai o be-KHabar meri jaan tujh pe nisar hai

Zaheer Abbas Saer

tujhe kya KHabar hai o be-KHabar meri jaan tujh pe nisar hai

Zaheer Abbas Saer

MORE BYZaheer Abbas Saer

    tujhe kyā ḳhabar hai o be-ḳhabar mirī jaan tujh pe nisār hai

    tirī shoḳh-o-shang adāoñ meñ mirī āshiqī ḳhumār hai

    jān-e-jāñ rāzdāñ mere pyaar kahkashāñ

    mire dil ke baaġh meñ āj-kal tire dam se fasl-e-bahār hai

    maiñ batā sakūñgā bhalā kahāñ maiñ chhupā sakūñgā bhalā kahāñ

    mirā dil kisī pe fidā huā mirī jaañ kisī pe nisār hai

    na huuñ muztarib na huuñ mutma.in hai baḌī ajiib kaifiyat

    hai buland-tar mirī fahm se koī aisī soch-bichār hai

    mire chaman gulāb hai mirī vafā shabāb hai

    na kisī tujh ḳhulūs hai na kisī tujh vaqār hai

    milā hai mujh ko jahāñ kahīñ mire dil ke ġhunche khile vahīñ

    mirī ḳhud-baḳhud jhukī jabīñ mirā hasīn nigār hai

    tirā aaj 'sā.ir'-e-be-navā hai udāsiyoñ meñ ghirā huā

    tire ġham meñ aise hai mubtalā use chain hai na qarār hai

    tujhe kya KHabar hai o be-KHabar meri jaan tujh pe nisar hai

    teri shoKH-o-shang adaon mein meri aashiqi ka KHumar hai

    tu hi jaan-e-jaan tu hi raazdan tu hi mere pyar ki kahkashan

    mere dil ke bagh mein aaj-kal tere dam se fasl-e-bahaar hai

    main bata sakunga bhala kahan main chhupa sakunga bhala kahan

    mera dil kisi pe fida hua meri jaan kisi pe nisar hai

    na hun muztarib na hun mutmain hai baDi ajib si kaifiyat

    hai buland-tar meri fahm se koi aisi soch-bichaar hai

    tu mere chaman ka gulab hai tu meri wafa ka shabab hai

    na kisi ka tujh sa KHulus hai na kisi ka tujh sa waqar hai

    tu mila hai mujh ko jahan kahin mere dil ke ghunche khile wahin

    meri KHud-baKHud hi jhuki jabin tu mera hasin nigar hai

    tera aaj 'sair'-e-be-nawa hai udasiyon mein ghira hua

    tere gham mein aise hai mubtala use chain hai na qarar hai

    Source:

    Lauh-e-Khayal (Pg. 218)

    • Author: Zaheer Abbas Saer
      • Publisher: Anjuman Azmat Fan Mandi Bahauddin
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now