Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe kya naseha ahbab KHud samjhae jate hain

Qamar Jalalvi

tujhe kya naseha ahbab KHud samjhae jate hain

Qamar Jalalvi

MORE BYQamar Jalalvi

    tujhe kyā nāsehā ahbāb ḳhud samjhā.e jaate haiñ

    idhar khaa.e jaatā hai udhar vo khaa.e jaate haiñ

    chaman vāloñ se kar ai nasīm-e-sub.h kah denā

    asīrān-e-qafas ke aaj par kaTvā.e jaate haiñ

    kahīñ beḌī aTaktī hai kahīñ zanjīr ulajhtī hai

    baḌī mushkil se dīvāne tire dafnā.e jaate haiñ

    unheñ ġhairoñ ke ghar dekhā hai aur inkār hai un ko

    maiñ bāteñ rahā huuñ aur vo qasmeñ khaa.e jaate haiñ

    ḳhudā mahfūz rakkhe nāla-hā-e-shām-e-furqat se

    zamīñ bhī kāñptī hai āsmāñ tharrā.e jaate haiñ

    koī dam ashk thamte nahīñ aisā bhī kyā ronā

    'qamar' do-chār din baat hai vo aa.e jaate haiñ

    tujhe kya naseha ahbab KHud samjhae jate hain

    idhar tu khae jata hai udhar wo khae jate hain

    chaman walon se ja kar ai nasim-e-subh kah dena

    asiran-e-qafas ke aaj par kaTwae jate hain

    kahin beDi aTakti hai kahin zanjir ulajhti hai

    baDi mushkil se diwane tere dafnae jate hain

    unhen ghairon ke ghar dekha hai aur inkar hai un ko

    main baaten pi raha hun aur wo qasmen khae jate hain

    KHuda mahfuz rakkhe nala-ha-e-sham-e-furqat se

    zamin bhi kanpti hai aasman tharrae jate hain

    koi dam ashk thamte hi nahin aisa bhi kya rona

    'qamar' do-chaar din ki baat hai wo aae jate hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tujhe kya naseha ahbab KHud samjhae jate hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now