Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe meri KHamoshi se bhi andaza nahin hota

Muzdam Khan

tujhe meri KHamoshi se bhi andaza nahin hota

Muzdam Khan

MORE BYMuzdam Khan

    tujhe merī ḳhamoshī se bhī andāza nahīñ hotā

    ki maiñ ab sirf bātoñ se tar-o-tāza nahīñ hotā

    tirā aanā bhī dekhegā tirā jaanā bhī har koī

    mahal tarah ghar meñ chor-darvāza nahīñ hotā

    natījoñ se bharī duniyā meñ paidā hone vāloñ

    bharosa to bahut hotā hai ḳhamyāza nahīñ hotā

    tirī āvāz bhārī hotī to suntā nahīñ koī

    tire paañv nahīñ hote to āvāza nahīñ hotā

    vo jis ek Thokar se hamārī ḳhaak uḌtī hai

    usī ke paas gāloñ ke liye ġhāza nahīñ hotā

    use in shā.iroñ se taaza phūloñ tavaqqo hai

    ki jin shā.irī meñ sher bhī taaza nahīñ hotā

    bichhaḌte vaqt ham donoñ hālat ek jaisī thī

    bikharte vaqt jaise koī shīrāza nahīñ hotā

    tujhe meri KHamoshi se bhi andaza nahin hota

    ki main ab sirf baaton se tar-o-taza nahin hota

    tera aana bhi dekhega tera jaana bhi har koi

    mahal ki tarah ghar mein chor-darwaza nahin hota

    natijon se bhari duniya mein paida hone walon ka

    bharosa to bahut hota hai KHamyaza nahin hota

    teri aawaz bhaari hoti to sunta nahin koi

    tere panw nahin hote to aawaza nahin hota

    wo jis ki ek Thokar se hamari KHak uDti hai

    usi ke pas galon ke liye ghaza nahin hota

    use in shairon se taza phulon ki tawaqqo hai

    ki jin ki shairi mein sher bhi taza nahin hota

    bichhaDte waqt hum donon ki haalat ek jaisi thi

    bikharte waqt jaise koi shiraaza nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now