tujhe mujhse mujhko tujhse jo bahut hi pyar hota
tujhe mujh se mujh ko tujh se jo bahut hī pyaar hotā
na tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā
tirā har maraz ulajhtā mirī jān-e-nā-tavāñ se
jo tujhe zukām hotā to mujhe buḳhār hotā
jo maiñ tujh ko yaad kartā tujhe chīñknā bhī paḌtā
mire saath bhī yaqīnan yahī baar baar hotā
kisī chauk meñ lagāte koī chūḌiyoñ kā khokhā
tire shahr meñ bhī apnā koī kārobār hotā
ġham-o-rañj-e-āshiqāna nahīñ calculatorāna
use maiñ shumār kartā jo na be-shumār hotā
vahāñ zer-e-bahs aate ḳhat-o-ḳhāl o ḳhū-e-ḳhūbāñ
ġham-e-ishq par jo 'anvar' koī seminar hotā
tujhe mujh se mujh ko tujh se jo bahut hi pyar hota
na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota
tera har maraz ulajhta meri jaan-e-na-tawan se
jo tujhe zukaam hota to mujhe buKHar hota
jo main tujh ko yaad karta tujhe chinkna bhi paDta
mere sath bhi yaqinan yahi bar bar hota
kisi chauk mein lagate koi chuDiyon ka khokha
tere shahr mein bhi apna koi karobar hota
gham-o-ranj-e-ashiqana nahin calculatorana
use main shumar karta jo na be-shumar hota
wahan zer-e-bahs aate KHat-o-KHal o KHu-e-KHuban
gham-e-ishq par jo 'anwar' koi seminar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.