Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas

Sajid Raheem

tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas

Sajid Raheem

MORE BYSajid Raheem

    tujhe talāsh kisī kamsin-o-hasīn bas

    use hai paisa kamātī huī machine bas

    qarīb laa.e vo lab ashk mere piine ko

    Dakait lūTne aa.e haiñ zā.erīn bus

    jab apne gaañv meñ utrūñ to shaam utrī ho

    maiñ saarī 'umr pakaḌtā rahā huuñ tiin bus

    har ek shaḳhs hai āzād koī jabr nahīñ

    ye ek baat bhī kaafī hai mere diin bas

    maiñ apne kaam usī ke sipurd kartā huuñ

    mujhe ḳhudā se tavaqqo' hai behtarīn bas

    hameñ ye vahm thā aise 'umr sañvregī

    shikan sañvārī hai ham ne tirī jabīn bas

    ye log saḳht haqīqat-pasand hote haiñ

    sunūñgā baat mohabbat ke munkirīn bas

    use maiñ apnī vafā subūt kyā detā

    ye saarī baat to hotī nahīñ yaqīn bas

    tamāshā-gāh raunaq usī ke dam se hai

    sunī ga.ī hai hamesha tamāshbīn bas

    dil ek ghar thā ise maqbara banāyā gayā

    ye aarzū thī kisī āḳhirī makīn bas

    tujhe talash kisi kamsin-o-hasin ki bas

    use hai paisa kamati hui machine ki bas

    qarib lae wo lab ashk mere pine ko

    Dakait luTne aae hain zaerin ki bus

    jab apne ganw mein utrun to sham utri ho

    main sari 'umr pakaDta raha hun tin ki bus

    har ek shaKHs hai aazad koi jabr nahin

    ye ek baat bhi kafi hai mere din ki bas

    main apne kaam usi ke sipurd karta hun

    mujhe KHuda se tawaqqo' hai behtarin ki bas

    hamein ye wahm tha aise hi 'umr sanwregi

    shikan sanwari hai hum ne teri jabin ki bas

    ye log saKHt haqiqat-pasand hote hain

    sununga baat mohabbat ke munkirin ki bas

    use main apni wafa ka subut kya deta

    ye sari baat to hoti nahin yaqin ki bas

    tamasha-gah ki raunaq usi ke dam se hai

    suni gai hai hamesha tamashbin ki bas

    dil ek ghar tha ise maqbara banaya gaya

    ye aarzu thi kisi aaKHiri makin ki bas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now