tujhe to shauq tha apni tarah se hone ka
tujhe to shauq thā apnī tarah se hone kā
to ab malāl ye kaisā kisī ke khone kā
abhī tū dard ke ādāb se nahīñ vāqif
hunar kahāñ se tujhe aa.e lafz bone kā
maiñ apnī saltanat-e-ġham kā bādshah Thahrā
har ek dard yaañ hiirā hai zaḳhm sone kā
usī ne mujh ko ubārā badan ke dariyā se
usī ne svāñg rachā thā mujhe Dubone kā
hamārā haal bhī koī judā nahīñ 'sānī'
jo haal hotā hai har sub.h ko bichhaune kā
tujhe to shauq tha apni tarah se hone ka
to ab malal ye kaisa kisi ke khone ka
abhi tu dard ke aadab se nahin waqif
hunar kahan se tujhe aae lafz bone ka
main apni saltanat-e-gham ka baadshah Thahra
har ek dard yan hira hai zaKHm sone ka
usi ne mujh ko ubara badan ke dariya se
usi ne swang racha tha mujhe Dubone ka
hamara haal bhi koi juda nahin 'sani'
jo haal hota hai har subh ko bichhaune ka
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 61)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.