Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai

Insha Allah Khan Insha

Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    Tuk ik ai nasīm sambhāl le ki bahār mast-e-sharāb hai

    vo jo husn-e-ālam-e-nashsha hai use ab ain-shabāb hai

    vo ghaTā.eñ chhā.īñ jo kāliyāñ jo harī-bharī huiiñ Dāliyāñ

    ubhar aa.iiñ phūloñ lāliyāñ to bajā.e āb-e-shahāb hai

    ye do-roza nashv-o-numā ko na samajh ki naqsh-e-pur-āb se

    ye sarāb hai ye habāb hai faqat ek qissa-e-ḳhvāb hai

    araq-e-bahār-e-sharāb hai vo aaj chhiḌkeñge aap par

    na to bed-e-mushk hai is ghaḌī na to kevḌā na gulāb hai

    unheñ kahne sunñe se bair hai jo ḳhud aa.eñ so to ba-ḳhair hai

    ye ġharaz ki zor sair hai na savāl hai na javāb hai

    kidhar aa.uuñ jā.ūñ karūñ so kyā mirā naak meñ aa gayā

    na to arz-e-hāl taab hai na to sabr-e-ḳhāna-ḳharāb hai

    mujhe vahsh-o-tair se rashk hai ki kabhī unhoñ ko kisī namat

    na savāl hai na javāb hai na azaab hai na iqaab hai

    mirī baat maan sunā dilā na to arz o farz pe chalā

    koī un ko Toke so kyā bhalā ki vo aalī un janāb hai

    are 'inshā' ab jo ye daur hai tirī vaz.a in dinoñ aur hai

    ye bhī koī ziist taur hai na sharāb hai na kabāb hai

    Tuk ek ai nasim sambhaal le ki bahaar mast-e-sharab hai

    wo jo husn-e-alam-e-nashsha hai use ab ki ain-shabab hai

    wo ghaTaen chhain jo kaliyan jo hari-bhari huin Daliyan

    ubhar aain phulon ki laliyan to bajae aab-e-shahab hai

    ye do-roza nashw-o-numa ko tu na samajh ki naqsh-e-pur-ab se

    ye sarab hai ye habab hai faqat ek qissa-e-KHwab hai

    araq-e-bahaar-e-sharab hai wo hi aaj chhiDkenge aap par

    na to bed-e-mushk hai is ghaDi na to kewDa na gulab hai

    unhen kahne sunne se bair hai jo KHud aaen so to ba-KHair hai

    ye gharaz ki zor hi sair hai na sawal hai na jawab hai

    kidhar aaun jaun karun so kya mera ji hi nak mein aa gaya

    na to arz-e-haal ki tab hai na to sabr-e-KHana-KHarab hai

    mujhe wahsh-o-tair se rashk hai ki kabhi unhon ko kisi namat

    na sawal hai na jawab hai na azab hai na iqab hai

    meri baat man suna dila na to arz o farz pe ji chala

    koi un ko Toke so kya bhala ki wo aali un ki janab hai

    are 'insha' ab jo ye daur hai teri waza in dinon aur hai

    ye bhi koi zist ka taur hai na sharab hai na kabab hai

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 166)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now